Tuesday, February 28, 2012

sardiyoN k mausam maiN....

sardiyoN k mausam maiN..
yaad ki zameenoN pe.. itni dhool uRti hai..
aankh k kinaroN pe.. saaray khush-numa manzar..
dhundla say jatay haiN..
kuch nazar nahiN aata..
aas k dareechoN say.. na muraadiyoN ki bail..
is tarah lipaT'ti hai..
jaisay subh ka bhoola.. raat doobnay tak bhi..
apne ghar nahiN aata..
sardiyoN k mausam maiN..
door ki musaafat par janay wala koi bhi..
lauT kar nahiN aata..
khoob gunguna bhi lo..
khul k muskura bhi lo..
chain.. par nahiN aata..
sardiyoN k mausam maiN..
bay sabab hi aankhoN maiN..
kuch nami si rehti hai..
zindagi mukammal ho.. phir bhi zaat maiN jaisay..
kuch kami si rehti hai..
sardiyoN k mausam maiN..!!