Kehne ko Mohabaat hai lakin..
Ab aysi Mohabaat kia karni..
Jo Neend chura lay Ankhon se..
Jo khawab dekha kar PhooloN k..
Tabeer mein kaanty daay jaye..
Jo Ghum ki Kali raton se..
Har aas ka jugnoo lay jaye..
Jo khawab sajati Ankhon ko..
Ansoo hi Ansoo daay jaye..
Jo mushkil kar daay jeeny ko..
Jo marne ko asaan karay..
Wo Dil jo payar ka mandar ho..
Wo yadoon ko mehman karay..
Ab Aysi Mohabaat kia karni..
Jo umer ki naqdi lay jaye..
Aur phir bhi jholi khali ho..
Wo suraat Dil ka Rog bane..
Jo suraat dekhi bhali ho..
Jo Qais bana daay InsaaN ko..
Jo Ranjha aur Farhad karay..
Ab Aysi Mohabaat kia karni..
Jo khushion ko barbaad kary..
Dekho tou Mohabaat k Bary..
Har Shakhs yehi kuch kehta hai..
Socho tou Mohabaat k andar..
Ek dard Hamesha rehta hai..
Phir bhi jo chez Mohabaat hai..
Kab inn baton se Darti hai..
Kab inn k bandhe rukti hai..
Jis Dil mein iss ko basna ho..
Yeh chupkay se bas jati hai..
Ek bar Mohabaat ho jaye..
Phir chahy Jina mushkil ho..
Ya jholi khali reh jaye..
Ya ankhain ansoo ban jain..
Ya Ranjha aur Farhad kary..
Phir iss ki hukomat hoti hai..
Abaad kary,Barbaad kary..
Ek baar Mohabaat ho jaye..
Kab inn baton se darti hai..
Kab inn k bande rukti hai..
Jo chezz Mohabaat hai Atif..
Jab honi ho Ho jati hai..
"Atif Saeed"