Monday, February 13, 2012

Mujh ko baatein kab aati hain !!

Mujh ko baatein kab aati hai...??
Main tou bas khamosh sa shahir...
Ulfat chahat kay rango say...
Dil ki khali tasveeron main...
Koi mohabbat bhar daita hon...
Aur kabhi apnay ashkon say...
Banjar is mann ki dharti par...
Koi mohabbat bou daita hon...
Aur kabhi deewar say lag kar...
Koi mohabbat ro daita hon...
Aur kabhi ankhon ankhon...
Saari baatein keh jata hon...
Main apnay is pagalpan main...
Kitna tanha reh jata hon...
Main tou ek khamosh sa shayar...
Mujh ko baatein kab aati hai...??
Mujh ko baatein gar aati tou...

Kya tum mujh ko chor kay jatein...??
Meray sapnay taur kay jati...??
Kya meri ankhon main...
Gham kay itnay ansu day sakti thein...??
Mera kul sarmaya tha jo...
Kya woh mujh say lay sakti thein...??
Gar mujh ko baatein aati tou...
Main lafzon kay jaadu say...
Main bhi tum ko khowab dikhata...
Tum say dheron pyar jatata...
Tum ko apna meet bnata...
Main bhi tum say woh sab kehta...
Jo tum sun'nay ki khowaish main...
Mujh ko aisay chor ayi thein...
Saaray rishtay taur ayi thein...
Main thehra khamosh sa shayar...
Mujh ko baatein kab aati hain...
Mujh ko baatein gar aati tou...
Tum bhi mujh ko meet bnati...
Meray saaray khowab sajati...
Yon na tanha chor kay jaati...
Main thehra khamosh sa shayar...

Kash mujhay bhi baatein aatein...!!