Tuesday, February 28, 2012

Kaho phir kya kiya jaye ??

Kaho phir Kiya Kiya Jaye...??
Mujhay Tum AcHi LaGti ho...
main tum ko acha lagta hoon...
kaho phir kya kiya jaye...??
...
Tumhari muskurati, geet gati dilruba ankhein...
Bahut gehri badi Qatil nihayat khushnuma ankhien...
mere dil say meri bytabiyoon say
khailti ankhein...
woh pehlay piyar ki zalim kasak ko jhailti ankhien...
khamooshi ki zuban main mujh say kia kuch bolti ankhein...
wo dil k bhaid saaray un’kahi main
khoolti ankhein...
Bazahir doston main khilkhilati chor nazroon say mujhay awaaz dayti dhoondti ankhein...
woh meri rooh kay rukhsaar ko ik faslay
say choomti ankhein...
...
ye sub batien batati hain...

main tum ko acha lagta hoon...
woh mery zabt kho daine pay fehmaish bhari nazrien...
Adaa e beniyazi ka woh ik nakam sa manzir...
woh ik kamzor si be iltafati berukhi ki sirf ik mahoom si kawish...
mujhay han, bus mujhay yoonhi nazar andaz kernay ki wo ik dilchusp si koshish...
ser e mehfil tumhara RaaZ Khul janay kay dar say be irada Ghair ahum logo say Rasmi Guftagoo kerna...
Ye sub batien batati hain...
main tum ko acha lagta hoon...
...
Kaho phir kya Kiya Jaye...??
...
mere be sakhta Fiqray... Mere Lehjay Ki HeR Shookhi...
mera har waqt HeR iK Simat tum Ko dhondtay Rehna...
Nazer Pertay hi tum par zaur say dil ka dharak uthna...
bahut hi walihana pan say tum ko daikhtay rehna...
mera khawabon khiyalon main tumhara hath thamay...
door tak chaltay chalay jana...
Misalon main hawalon main...
tumhara ziker le aana...
kisi nokhaiz ladkay ki terha...
her aik kaghaz par tumhara naam likhna aur pher likh ker mita dayna...
ye sub batien batati hain...
mujhy tum achi lagti ho...
...
Kaho phir kya kiya jaye...??
...
MujHay tum achi lagti ho...
main tum ko acha lagta Hoon...
Kaho phir kya kiya jaye...??
...
Hamaray dermiyan Rasmoon, riwajoon ka...
Samaji mertabay ka...
umer ka aur khandanoo ka...
bahut ghera Khala hai...
Is ko kaisay pur kiya jaye...??
...
...
Kaho phir kya kiya jaye...??
Kaho phir kya kiya jaye...??