Tuesday, September 27, 2011

Teray Bina Tu Zindagi Kuch Nahi...

Tum Hi Nay Tu Kaha Tha
Chaand , Bina Chaandni Kay Kuch Nahi
Raat Bina Sitaron Kay Kuch Nahi
Saagar Bina Pani Kay Kuch Nahi
Titli Bina Rangon Kay Kuch Nahi
Bina Teray Chahaton Kay Main Kuch Nahi
Tu Phir In Raahon Per
Jin Pay Chal Rahi Thi Main
Haath Kyun Chora
Keh
Teray Bina Tu Zindagi Kuch Nahi

~terii yaad mei sabb guzar gaey. . . .. . shab-0-roz kaya, maah-o-saal kaya~

tujhe naaz haii keh main husn hoon
mere gulistaaN ko zawaal kaya
mujhe fakhR haii keh maen ishQ hoon
j0 jala na duun to kamaal kaya

mujhay zindagii kii dua na day
mujhay zindagii kii talab nhi
merii maut ko jo taal day
is zindagii kii majaal kaya

hamen manziloN kii khabR nhi
hamen rah-guzR kii talaash hei
us rah-guzr pe nikal parrayy
to urooj kaya, zawaal kaya

teray pyaaR mei shikweyy, gileyy
terii in adaa0N pe marr chalayy
jo hayaaT thii tujhe waaR dii
tu jawab kaya, aur sawal kaya

thii jo ik ada-e-dil-bari
saarii umeR ussii pe waar dii

~terii yaad mei sabb guzar gaey. . . .. . shab-0-roz kaya, maah-o-saal kaya. .. . . .~

Saans lainay ki to aazadi muyassar hay……..magar

Zindagi kay jitney darwazy hain, mujh par band hain
Dekhna
Hadd-e-nazar say aagy barh kar dekhna bhi jurm hay
Sochna
Apnay aqeedo’N aur yaqeeno’N say nikal kar sochna bhi jurm hay
“Kyun” bhi kehna jurm hay
“kesay” bhi kehna jurm hay
Saans lainay ki to aazadi muyassar hay……..magar
Zianda rehny kay liay insaan ko…….kuch “aur” bhi darkaar hay
Aur…….is kuch “aur” bhi ka tazkara bhi jurm hay
Ay hunar mandaan-e-aaeen-o-sayasat
Ay khuda vandaan-e-eewan-e-aqaaid
Zindagi kay naam par, bas ik inayat chahiay
Mujh ko in saary jarayam ki ijazat chahiay

Mere Shehr-e-Samaa’at meiN kHamoshi kab se MehmaaN hai...

Mere Shehr-e-Samaa’at meiN
kHamoshi kab se MehmaaN hai
Hawa ke Qeh’qahoN ki aik Muddat se
Koi Konpal nahiN phooTi
bata kis ki Udaasi ne
Tere Chehre pe youN SarsoN mali hai?
bata de kaya huwa tujhko?
Hinaai Haath kiouN chupp haiN?
Udaasi apne HaathoN meiN lagaai kis liye tune?
Teraa Gajraa Hawaa-e-Shab se Sargoshi nahiN kartaa
Sabaa ne Peraahan NohoN ka tan pe Orh rakha hai
barraa Arsaa huwa hai
Man ke Gulshan meiN
Teri AaahaT ki koi bhool kar Titli nahiN aai
Kalli koi nahiN ChaTki Bohat Din se
mere Shehr-e-Samaa’at meiN
teri paayal nahiN boli
teri Choorhi nahiN cHanki

Ay Gham-e-Yaar Thehar Aaj Ki Shab...

Ay gham-e-yaar thehar aaj ki shab
lag chuki teri sayahi dil per
aa chuki jo thi tabahi dil per
zard hay rang-e-nazar aaj ki shab
khaak ka dhair huway khuwaab nagar
aaj ki shab
ay gham-e-yaar theher aaj ki shab
kam-nazar daikh hawa ki aahatt
kis ki khusbhu mai basi aati hay
kon saa aks hay jis ki khaatir
aankh aaiyna bani jaati hay
kis tarah chaand achanak jhukk ker
sard shaakhon say lipat jaata hay
kis tarah rang-e-chaman
ik chehray mai simatt jaata hay
saill-e-amwaaj-e-tamanna kaisay
saahil-e-dil say palat jaata hay
aur kis taur say tay hota hay
lerrkharratay huway taaron ka safar
aaj ki shab
bay-hunar aaj ki shab
mujhay jee bhar kay ussay yaad to ker lainay day
daulat-e-dard hi sahi, jee to bhar lainay day

Bichartey waqt us nay aik hi fiqra kaha tha...

Dua karna
Meray haq mein Dua karna
Bichartey waqt us nay aik hi fiqra kaha tha
Par uss ko kaya maloom
Meray harf say taseer kab ki uth chuki hai
Dua ka Phool mere lab pay khiltey hi
Achanak Toot jata hai..
Mein kis khushboo ko uss kay haath par bandhoon
Mujhey Khushboo say dar lagnay laga hai.

Yeh jo waqt he meray shehar par kayi mosmooN sy ruka hoya

Yeh jo waqt he meray shehar par kayi mosmooN sy ruka hoya
issay izn day keh safar karay
issay khukm day keh chal parray, meray aasmaaN say door ho
koyi chand chehra kushaa karay, koyi aaftaab zahoor ho
keh nawa-e-chashm-e-kheyaal mein woh jo khwaab thay, woh dhuaaN hoye
woh jo aag thi woh naheen rahi, jo yaqeen thay woh gumaaN hoye
koyi dhund hai jissay dekhtay meri aankh baraf si ho gayi
woh ibarat-e-sir-e-loh-e-dil, kissi rabt say naheen aashna
keh jo roshni thi kitaab mein wohi harf harf si ho gayi
koyi gardbaad uthay kaheen, kissi zalzaly ki namood ho
yeh jo "hast" he meray chaar soo, koyi mojaza keh yeh "bood" ho

meri aankh mein yeh jo raat hai, meri umr si, issay taal day
meray dasht-e-raig-e-malaal ko kissi khushkhabri ka ghazzaal day
yeh falk pe jitnay nujoom hain teray hukm kay hain yeh muntazir
woh jo subh-e-nau ka naqeeb ho meri simt us ko uchhaal day

TUM

Tum Say
Kaya Ehad Ustawaar Karen
Tum Hawa Ka Mizaj Rakhtay Ho
Aur Hawa
Kis Kay Haath Aaee Hai...

Shehr e Dil Me ab koi sa Ho Mosam….

Hawa Us se Kehna
Keh Shehr e Dil Me ab koi sa Ho Mosam….
Theherta nahi hai
Mohabbat ka ya beqarari ka Mosam
Bharosey ya Be Aitebaari Ka Mosam
Ho Be-Chain Rehne Ya Kerne Ka Mosam
Youn hi besabab Jeenay Marne ka Mosam
Judaai k Khadshon se Darne Ka Mosam
Wafaaon ka Ya Bewafai ka Mosam
Murawwat Ka Ya Kuj Adai ka Mosam
Ya Phir..Dil Nasheen Shair Kehney Ka Mosam
Shanasai k Dard Sehne Ka Mosam
Ya Aya Ho Ashkoon k Behne Ka Mosam
Ya Tere Khyaloon Me Rehne Ka Mosam
Hawa Us se Kehna…..!
Koi Sa Ho Mosam
Wo Ab….Shehr-e-Dil Me Theherta Nahi Hai...

Kiya ISHQ Kisi Say Kertey Ho?

Bay Baat Bigartey Rehtey Ho,
Bay Chain Hamesha Rehtey Ho,
Yeh sab Nishani ISHQ Ki Hai,
Kiya ISHQ Kisi Say Kertey Ho?

Kiyoon Ratoon Ko Jagtey Rehtey Ho?
Aur Taarey Bhi Tum Gintey Ho,
Yeh sab Nishani ISHQ Ke Hai,
Kiya ISHQ Kisi say Kertey Ho?

Zikar Jo Mera Chalta Hai,
Chehrey ka Rang Badalta Hai,
Bay chain say Tum Ho Jatey Ho,
Kiya ISHQ "MUJH" Hi Say Kertey Ho ?

Wednesday, September 21, 2011

SINDH KA SURAJ...

Moosa Say Lay Kar Marks Talak.
Mansoor Koi Suqrat Koi,
Aamir Firaunon K Aagay,
Jo Bhi Aaya Masloob Gaya,
Jo Bhi Aaya Maatoob Gaya,
Ik Suraj Sindh Say Nikla Tha,
JO Lakhpat Kot Men Doob Gaya....

AISA HO SAKTA HAI NA?

AISA HO SAKTA HAI NA?
\
keh main ne jaan liya ho,
tujhe teri zaat ki gehrai tak,
teri mehfil se le kar teri tanhai tak,

AISA HO SAKTA HAI NA?

keh main ne bohut kurb saha ho,
tere sitam se le kar teri masihai tak,

OR AISA BHI HO SAKTA HAI NA?

keh tujhe koi dukh na ho,
mere milne se le kar meri judai tak,
OR YE BHI HO SAKTA HAI NA?

keh umar bhar k liye kafi ho,
ye dukh keh main ne safar kiya..
apni zaat se le kar teri zaat ki rasai tak......

KIYUN DIL KO DHARAKNA YAAD AAYA...

Jab dard puranay ho baithay..
Jab `yaad ka jugnu`raakh hua
Jab aankh main aaansoo barf huay
Jab zakhm se dil manoos hua
Jab tees ko chubhna bhool gia
Tab mujh peh khula main zinda hun!!!
Phir dil ko dharhakna yaad aya!!!

Jab karb ki lambi raahon main
Ahsas k baal safaid huay
Ya soch ki sarma dhoopon main
Alaam ka mevah khushk hua
Jab aankhain 'be sailaab'huin
Jab neendain Andhi ho baithin
Jab khawabain b 'be khawab' huin
Jab chaand charha be dardi ka
jab tanhaii ka seena b
Ser rakhnay ki aagosh laga
Jab rait peh likhi yaadon ko
Be mehr hawa ne cheen lia
Jab hosh ki kachi dewarain
Tasweeron se azad huin
Jab 'yaad ruttain' be dad huin
Tab mujh peh khula main zinda hun!!!
Phir dil ko dharakna yaad aya!!!

Tab aankhain kuch abaad huin
Jab mujh peh khula main zinda huun...
Ahsas ka bachpan jaag para
Phir jazbay be taqweem huay!!
Phir waqt ne kuch angraaii li..
Phir soch ki qabar se dhool urhi
Phir piyas ka barzakh bhool gya!
Ik hijr se kia azad huay?
So hijr naye ejaad huay!!
Phir ik nazar siyyad bani
Ik nazar ka taair said hua
Phir ashk main darya qaid hua!!
Phir dharkan main bhonchal paray
Phir ishq ka jogi gallion main...
Taqdeer kay saamp utha laya!!

Phir hosh ka jungle sabz hua
Phir `shoq_e_darinda` jag utha..
Phir zulf ka tewar shaam banay
Us shaam main phir mehtaab charha
Phir hont ki larzish, geet bani..
Phir sans ka naam saba thehra!!
Phir sher,shaur ka wird hua..
Phir zanjeerain,zawer thehrin..
Phir taqreerain inaam huin
Phir khoon se likhay jazbon ki
Kuch tehreerain neelam huin!!
Phir dard "Zulaikhaan"ban baitha..
Phir qurb ka karb jawan hua
Phir mujh pe khula main zinda huun!!!!

Kuch wasl shabain `shab khaiz`huin
Kuch hijr ki nabzain tez huin
Jab qaid ko taza umr mili..
Us qaidi umr k bakhton ne..
Ik shaam_e-sahuur se pooch lia
Mehjuur hi rehna tha...to hamain
wo pichla hijr hi kafi tha!!
Gar qaid hi ja` apnani thi..
Kiun pichlay jaal ko chora tha??
Kis ahed peh pinjra tora tha??
Jab jaal teri kamzori thay...
Siyyad ko kiun badnaam kia??
Ik soch raha huun muddat se..
Kiun mujh pe khula main zinda huun??
KIun dil ko dharakna yaad aya??

SUNO AY CHAND SI LARKI...

Suno aye chaand c larki
Abhi tum keh rahi thi na

Tumhain mujh se mohabbat ho nahi sakti
Chalo maana k yeh such hai

Magar aye chaand c larki
Mujah itna batao tum

K jab mosam badalte hain
Gulon main rang bharte hain

Tou phir kiyu muztarib ho kar
Akele pan se ghabra kar

Hawa ko raaz deti ho
Mujah awaaz deti ho

Suno aye chaand c lerki
Tumhare saamne koi mera jab naam leta hai

Tou phir kiyu chonk jaati ho
Chalo maana tumhain mujhse muhubbat ho nahi sakti

Magar itna samajh lo tum
Jahan chahat nahi hoti

Wahan nafrat k hone ka koi imkaan nahi hota
Mera dawa hai chahat main

Jahan nafrat nahi hoti
Wahan aksar yeh dekha hai

Agar kuch waqt kat jaye
Samay ki dhool chhat jaye

Tou wehshat bhaag jati hai
Mohabbat jaag jati hay....

Dua-e-neem shab...

Sada-e-aarzo
Wisaal-e-yaar kay
Khayal-o-Khwab main
Jo ho gayi magan
To lafz kho gaye
Dua-e-neem shab
Adhoori reh gayi
Jo baat thi buhat
Zaroori, reh gayi

Yeh aaghaz-e-judai hai keh andaz-e-mohabbat hai?

Tumhe jo besabab mujh say khafa honay ki aadat hai,

Yeh aaghaz-e-judai hai keh andaz-e-mohabbat hai,

Wafa kay rung mai dekho jafa achhi nahi hoti,

Kisi say pyar mai itni ana achi nahi hoti,

Faqt kehnay ki baatein hain,


nibhata kon hai kisko?

Chalo ab daikh letay hain,

Manata kon hai kis ko?

Alaao (Gulzar)

Raat bhar sard hawa chalti rahi
Raat bhar hum nay alaav taapa
Main nay maazi say kai khushk see shaakhien kaati
Tum nay bhi guzray huway lamhon kay pattay torray
Mein nay jaibon say nikali sabhi sukhi nazmain
Tum nay bhi haathon say murjhaaye huey khat kholay
Apni in aankhon say mein nay kai manzar torray
Aur haathon say kai baasi lakeeren phenki
Tum nay, palkon pay nami sookh gayee thee, so gira di
Raat bhar jo bhi mila ugtay badan par humko
Kaat kay daal diya jaltay alaawon main usay
Raat bhar phoonkon say har lau ko jagaye rakha
Aur do jismon kay eendhan ko jalaye rakha
Raat bhar bujhte huey rishtay ko taapa hum nay

Ju Tujh Ko Yaad Rakhtey.They Wo Khud Ko BhOol jAtey They..

Meray Sahir Teri Aankhain
Yeh Kaisa dArd Rakhtii hAin
Inhien Likhney Kii Khwaahish Mein
Meri Qalam Thakii Kitna
Inhien Parhney Kii Chahat Mein
Meri Aankhien jalli Kitna

Main Likh Likh Kar Teri Aankhien
Suanta Tha jO dUnya Ko
Zamana Ruktii SaansOn Mein
Teri AankhOn Ko Sunta Tha
Zamaney dOob jAtey They
jO tUjh Ko Yaad Rakhtey They
Wo Khud Ko BhOol jAtey They

Kisi Shab Ki Sa'at Mein
Teri AankhOn Sey SOya Tha
tO Jitney Khwaab Bhi Dekhey
Main PehrOn In Pey ROya Tha
Teri AankhOn Sey Takra Kar
tO Sapney tOot jAtey hAin
Meray Sahir Teri Aankhien
Yeh Kaisa dArd Rakhti hAin ?

Yeh Sapney Aur Bhii Laayen tO
Kisi TaBeer Kii SOorat
Inhien Soney Nahii Daita
Kisi SheeShey Sey Manzar Par
Teri Aankhien jO Uth jAien
Wo SheeSha Zard hO Jaaye
Misaal e dArd hO Jaaye

Teri AankhOn Kii MehrOomii
Kisi Chehrey Ki dOalat Sey
KyOn Janey Kum Nahii hOtii

Yeh SadiyOn Ka Saffar Aur hAi
Laraztii Narm PalkOn Mein
Zamana Saaz Sii Aankhien
Na Janey Kab Sey Pathar hAin
kyOn Janey Num Nahii hOtien

Yeh SOcha Tha Kabhi Main Ney
Yahii Kuch Main Ney SOcha Tha
K ChahOn tO FaQt Eik Lams Dey Kar Hii
Inhien Phir Sey Jagga DaalOn
Main Is GumSum Sey Pathar Ko
Mehaz ChOo Kar Rula DaalOn
Main In AakhOn Mein Likha dArd
mOhabbat Sey Mitta DaalOn

Magar Jab ROo-BarOo Paaya
Teri AankhOn Ko Meri jAan
Teri Aankhien Meri AankhOn Mein
Jaisey Jazb hOtii Thi
Main KhUd Ko bhOol Baitha Tha
mUjhey tUm Yaad Rehtey They

Teri AankhOn Key dUkh Darya
Meri AankhOn Sey Behtey They
Meri Aankhien Bhi Ab Bilkul
Teri AankhOn Sii Lagtii hAin
wOhii HaSrat wOhii WehShat
wOhi ChUp Chaap Pathar Sii
K Jiss Manzar Pey Uth Jayen
Aseer e dArd Kar Jaayen

Main Kab Sey SOch Mein gUm hOn
mUjhey Kuch tOo Hii Samjha Dey
Meray Sahir Teri Aankhien
Yeh Kaisa dArd Rakhtii hAin ??

Dehleez-e-sama’aT pe kisi waaday ki Aahat...

Dehleez-e-sama’aT pe kisi waaday ki Aahat
Utray keh na Utray
Aey Ranj bharii Shaam
dukhtay huey diL paR
koi Aahista say Aa kaR
ik Harf-e-TassaLi tou rakhay phooL ki Maanind…!

Parveen Shakir

Yeh Zindagi Bari Ajeeb Si .....

Yeh Zindagi Bari Ajeeb Si
Kabhi Gulzar Si Kabhi Bezaar Si
Kabhi Khushi Hamaray Saath Saath
Kabhi Ghumon Ki Barsaat Si
Yeh Zindagi Bari Ajeeb Si

Kabhi Tofanon Main Bhi Hain Rastay
Kabhi Manzilon Ka Pata Nahi
Kabhi Do Qadam Pay Zindagi
Kabhi Sadyon Tak Intizar Si
Yeh Zindagi Bari Ajeeb Si

Kabhi Her Pal Imtahaan Hay
Kabhi Bin Mangay Inaam Hay
Kabhi Kuch Nahi Kabhi Sab Kuch Si
Yeh Zindagi Bari Ajeeb Si
Kabhi Gulzar Si Kabhi Bezaar Si

Jaatey Jaatey Bas Aik Ehsaan Kar Do .....

Jaatey Jaatey Bas Aik Ehsaan Kar Do
Agar Kuch Kar Sako To Bas Itna Kar Do
Woh Sab Kuch Jo Mera Apna Tha
Woh Sab Kuch Jo Mera Sapna Tha
Ho Sakey To, Woh Mujhey Louta do....

Mera Eshq Mujhey Louta Do,
Mera Pyaar Mujhey Louta Do
Mera Junoon Mujhey Louta Do,
Meri Chah Mujhey Louta Do
Mera Ghuroor Mujhey Louta Do,
Mera Maan Mujhey Louta Do
Merey Sab Sapney Mujhey Louta Do,

Merey Armaan Mujhey Louta Do
Meri Khuahishein Mujhey Louta Do,
Meri Hasratein Mujhey Louta Do
Meri Ummeed Mujhey Louta Do,
Meri Har Aas Mujhey Louta Do
Meri Sab Dharkanein Louta Do,
Meri Har Saans Mujhey Louta Do
Mera Nikhaar Mujhey Louta Do,

Noor-E-Haque Se He Syah Khaana-E-Hasti Roshan....!!

"Waqt" k pardah-e-tareek pe likkha mein ne
"Gulshan-e-zeest ki hai shahid-o-meena se bahar"
Chand lamhon k liye reh k darakhshan lekin
Mit gaye dekhte hi dekhte ye naqsh-o-nigar

Aah!kis cheez ko is daar-e-fana mein he qaraar!

"Waqt" k pardah-e-tareek pe likkha mein ne
"Maqsad-e-zeest hi takmeel-e-hunar azmat-o-naam"
Naqsh they ye bhi bohat shokh mager aakhir kaar
Ho gaye pardah-e-tareek mein roo poash tamaam

Aah!her naqsh-e-darakhshan ka yahi he anjaam!

"Waqt" k pardah-e-tareek pe likkha mein ne
"Noor-e-haque se hai syah khaana-e-hasti roshan"
Kaanpte kaanpte kafoor hui zulmat-e-"waqt"
Haque hi haque mahfil-e-imkaan mein raha jalwah-e-figan

Hai fana k liye paighaam-e-fana haque ki kiran...!!!!

Bahaar RuT me Ujaar Rstay,

Bahaar RuT me Ujaar Rstay,
Thka Kro ge To Ro Paro ge

Kisi sE Milne Ko Jb B Mohsin,
Saja Kro ge To Ro paro ge

Tmhare Wadon nE Yar MujhKo
Tabah Kiya he Kuch is Trah sE

K Zindgi me Jo phir Kisi sE
Dagha Kro ge To Ro Pro ge

Mai JanTa Hon Meri MuhbT
Ujaar Degi Tmhen B aise

K Chaand Raton me Ab Kisi sE
MiLa Kro ge To Ro pro ge

Brsti Barish me Yad Rkhna
Tmhen Sataaen gi meri Ankhen

Kisi Wali K Mzaar pr jb
Dua Karo ge To Ro pro ge

Tumhi zindgi ho meri,

Mery hr udas pal men
Mera sath chor jana,
Ye kahan ki ulfatain hain?
Ye kahan ki dosti hy?

Tumhen sath dekh kr lga tha,
Tumhi zindgi ho meri,
Tumhi bandgi ho meri

Tumhi hr khushi ka saya,
Tumhi saadgi ho meri

Mujhy kya khabar thi 'JANA'
Tum youn wafa karo gy

Mery hr udas pal men
Mera sath chor do gy.

Bin tere ab koi Chahat nahi...

Bin tere ab koi Chahat nahi
Zindagi ki bhi koi khuwahish nahi
Tum nahi the to Zindagi main kuch kami thi
Ab hoker bhi tum mere nahi
Sab kuch paas hai magar
Ek tu hi to mere paas nahi
Hazaron ne hamain Chaha lekin
Ek tujh hi ko hamari Chahat nahi
Hum tere beghair bhi Jeene ki koshish karenge
Kyun ki ab hamain kisi aur ki zaroorat nahi

Thursday, September 8, 2011

Koi suljha skta nhi meri pehaili ko ?

Koi suljha skta nhi meri pehaili ko
Btao kiya tum Suljhao Ge?
Chalo Fraz kro humy tum se muhbat hai
Han humy tm se muhbat thai hai or rahey ge !
To SOcho Ge k hum Ek Na Ek din Badal Jayen Gey
Khulose e Dil Se Chaha hai Badnla Kesy Kesy
Han Bhla Kesy Mumkin hai !
Mary Ansuon Ki Sihayi Dard Ban Kar Ankhon Se Bhty Hain
Tmhari Yad Mai Jb Mai Bhut He Doob Jata Hon
Tb Mera Dard Mery Alfaz Ban Kr Janam Laity Hain
Ajeeb Baat Hai Na Ye Tumhari Yadon Ki Tarha
Dard b Hr Lamhy Hr Pal Mery Sath hota hai !
Tumhar Sath Jo Kuch Pal Bitaye Thai
Wo Batai Lafz Ba Lafz Aaj B Yad Hai mUjh Ko
Btao Tm SUljaha Pao Ge Ye Pehli ?
Ye Kiya Tumhary Ankhon Mai Ansun Q ?
Mera Dard Tum B Seh Nhi Pai?
Tumhai B Ek Dard Utha Hai Mera Dard Sun Kar
Tumhay Shayad Wo Wada Yad Nhi Jana
Tmhary Ansun Mery Dard Ko OR Bhara Daingy
Mujhy Kamzor Kr Dain gy
Per Mujhy Aysa Khu laga Hai Tum Majbor Ho Shayad
Ya Phir Tum Mai Aana e Pehlgi E Meri Nay Ghair Rakha Hai
Paihal Krna B Ho tu Pehli Paihlgi Mai KrLn
Chalo Ab Batao Kiya Ab Meri Pehli Ko Suljha Pao Ge?
Ajeeb Qurbat e Khon Dekha Hai Mai Nay KHAQI
Ynha Muhbat Mai Jaza Nhi Saza Milti Hai
Nhi KHAQi Wo Majbor Hai Shayad
Tum Shayad Nhi Sujha Pao Ya Shayad Suljha Pao
Neri Pehali Ya unh Knho Hamari Pehali.......

K hum tum bin adhoray hain...

Tumhain ik baat kehni hai ,magar naraz mat hona,
Ke tum jo har ghari mujh ko itna yaad aatay ho ,,
Hamehin itna statay ho ,,,,
Ke hum tum door hain dono,bohat majboor hain dono,
Na itna yaad aao tum , na yun itna satao tum,
Ke itna yaad aakar yun, hamain pagal bana ke tum,
Faqat itna bata do ke, hamari jaan lo ge kya ?
Magar ye bhi haqiqat hai, tumhari yaad hi to hai,
Jo har pal saath rehti hai ,
Khushi mein bhi ghamon mein bhi ,udasi ke palon mein bhi,
Tumhari yaad hi to hai,
Jo har pal ye batati hai ,mujhe ehsaas dilati hai,

KE HUM TUM BIN ADHURAY HAIN

Lumhay....

LUMHAY BOHAT HE NAYAB HOTAY HAY
kabhi muhabbat kay lumhay to kabhi judai kay lumhay
in lumho ka amna he muza hot ahy kabhi yeh lumhay
bohat payaray lugtay hay ***hi main in ka koi
sani nhe lakin yeh ***hi be aik mehmaan ki tera
hoti hay jo aatee hay aur chali jateee hay
kuchi main sub shreek hotay hay lakin gum main koi
be shreek nhe hota siway us kay jo bohat apna hoo
lakin wo apna be ***h naseeb logo ko milta hain
kabhi bicherty hoy lumho ko dekha hay ?
kitna ajeeb dhashat zuda munzar hota hay in lumho main
aansoo chumak uthtay hain aur is bichertay hoy pal
main sirf aur sirf gum he miltay hay jo ***hi kay chulay
jany ka ahysaas dilatay hain
gum ka ihsaas sirf shynai main hota hay
raat ki tunhai main hota hay
jub aankhoo say aansoo oo ki burast hoti hay
jin per kisi ka ikhtayar nhe hota
yeh aansoo kuchi main be nikal perty hay lakin
in ka be apna he rung hota hay
:LUMHAY YAADOO KO YAADGAR BUNA DAYTAY HAIN:

Adhuri Aas Chor K...

Adhuri Aas Chor K,
Jo Roz Yunhi Jao Ge,
To Kiss Tarha Nibhao Ge,
K Zindgi Ki Raah Main,
Jawan Dilon Ki Chaah Mai,
Kayee Muqam Ayein Ge,
Jo Hum Ko Azmayein Ge,
Bura Na Mano Baat Ka,
Ye Pyar Hai Gila Nahi,
Abi Na Jao Chor Ker,
K Dil Abi Bhara Nhi...

Jawab...

Sitare jhilmila Uthay,
Chiragh jagmaga Uthay,
Bus Aub Na MujhKo Tokna,
Na Barrh K Raah Rokna,
Ager Main Ruk Gayeen Abi,
To ja Na Paon Gi Kabi,
Yahi Kaho Ge Tum Sada,
K Dil Abi Nahi Bhara,
Jo Khatm Ho Kisi Jaga,
Ye Aisa Silsila Nahi.

Abi Na Jao Chor Ker...

Abi Na Jao Chor Ker,
K Dil Abi Bhara Nahi,
Abi Abi To Aaye Ho,
Bahaar Ban K Chaye Ho,
Hawa Zara Mehak To Le,
Nazar Zara Sambhal To Le,
Mai Thori Dair ji To Loon,
Nashay K Gh0ont Pi To Loon,
Abi To Kuch Kaha Nahi,
Abhi To Kuch Suna Nahi,

~*~Ajnabi~*~

Ajnabi si raahoN ka
Ajnabi musafir aik
Mujh say pooch betha hai
Raasta bata do gay?

Ajnabi si rahoN kay
Ajnabi musafir sunn
Rasta koi bhi ho
Wasta koi bhi ho
ManzileiN nahiN milteiN
ManzileiN to dhoka haiN
ManzileiN jo mil jaaiN
Justaju nahiN rehti
Zindagi ko jeenay ki
Aarzoo nahiN rehti

Abhi is taref nazer na ker

Abhi is taref nazer na ker main
gazal ki palke sabhaal loon,
Mera lafz lafz ho aina, tujhe aine
main utaar loon.

Mai tamaam din ka thaka hua,
Tu tamaam shab ka jaga hua
Jara thaher ja isi mor per, tere
saath shaam guzaar loon.

Ager aasman ki numaish main
Mujhe bhi izne kayaam ho
To main motion ki dukaan se
Teri Baaliyan tere haar loon.

Kai ajnabi teri raah ke mere paas
se yu guzer gaye
Jineh dekh ker ye taref hui tera
Naam leker pukar loon.

Kabhee tum mujhko bhula na daina

rafaqaton ki haseen rut man,
muhabbaton k gulab saray
wafa ki dori say bandh rakhna ,
k raston man bikher na jain
k aik rastay k do musafir,
khayal rakhna bicher na jain
ye jhilmilatay say chand taray,
ye muskuratay say phool saray
Neelgoun say ye rang.e.fitrat,
shafaq ki lali subah ka aanchal
gulabi moasam ye urtay badal,
gawah hen meri muhabbaton k
faqat hay itna hee tum say kehna,
mujhay wafa ki saza na daina
k yad rakhna hamesha mujh ko,
kabhee tum mujhko bhula na daina

Monday, September 5, 2011

Zaroori nahi....

Bholay rustoon pe jana zarori nhi
Ab usay azmana zarori nhi
Ek ishara he kaafi hy us ne kaha
Dastanein sunana zarori nhi
Usne mujh se kaha , muskrate hove
Har jagah muskrana zarori nhi
Jab sitara , sitaroon k jhurmat mein ho
Phir lab-e-baam jana zarori nhi
SAAD , wehmoon mein ghir jaye koi agar
Usko wapus bulana zarori nhi

Mohabbat siraf zindgi hay.

Issay Tum Zindagii Jano,
Tumhain WO Rog Kahta Ho,
Kay Jis Nay Khud Hi Chahat Say Tumhara Haath Thama Ho,
Wo Apnay Dil Kay Darwaze,
Tum Hi Per Band Kar Day To Mohabbat Mar Bhi Sakti Hai,
Tumhain Sangsar Kar Nay KO Jo Sang Bantay Loogon Mein,
Saba KO Roknay KO Qafal Dalay Dareechon Mein,
Kar Kay Band Ghar Kay,
Saans Per Pehray Lagay To…,
Mohabbat Mar Bhi Sakti Hai,
Ye Kis Nay Kah Diya Tum Say,
Mohabbat sirf zindgi hay.

Meri zindagi hay WO.....


MuJhe LaGta Hai AiSa KaBhi KaBhi
JaiSe Woh AjNaBi LaDki
MuJh Se PYaaR KaRti Hai
MuJhe ChaHti Hai
AkSaR YuNhi ChuP ChuP KaR
DeKhTi Hai, JaNe Kia SooCh KaR
NazReiN ChuRa JaTi Hai
KuCh GhaBRa Si JaTi Hai
ApNe AaNcHal Ko HaWaooN Ke ZooR PaR LehRaTi Hai
MehSooS MuJhe Yeh HoTa Hai Ke
ShaYaD MuJhe Woh Bahut ChaHti Hai
Mujhe AiSa EhSaaS DiLaTi Hai JaiSe
Woh MuJh Se KuCh KehNa ChaHti Hai
MeRe PooChNe PaR KuCh ShaRMa Si JaTi Hai
KuCh GhaBRa Si JaTi Hai
SuNiYe Keh KaR BhaaG JaTi Hai
AjNaBi LaDki ShaYaD PYaaR KaRti Hai MuJh Se
AiSa MehSooS Hota Hai JaNe KYuN MuJhe
Dil Bhi KitNa PaGal Hai
Kia Kia SoChta RehTa Hai
KuCh MaSooM Se JazBeiN HaiN
KuCh UnDekhe SaPNe HaiN
MaGeR Woh Nahi JanTi ShaYaD
MeRi ZinDaGi Hai Woh

Tum dil ki batain kia samjho...

tum dil ki batin kiya samjho
tum dil ka lagana kiya jano
tum aag lagana seekh gaye
tum aag bujhana kiya jano
ik baar agar tum roth gaye
hum tum ko mana hi lein ge magar
ik baar agar hum roth gaye
tum hum ko manana kiya jano
kuch sath chale phir chor gaye
wada ju kiya wo toor gaye
sathi tu banate rahte ho
tum sath nibhana kiya jano

jab piyar ki baat adhuri ho

jab piyar ki baat adhuri ho
jab beech main thori doori ho
jab milna bohat zaroori ho
per milne main kuch majboori ho
tum dil main yaad jaga lena
kuch piyar k deep jala lena
jab mujh se milne aa na sako
aur yaad se bahir ja na sako
thora dil ko tum samjha lena
bus yaad se dil behla lena

Nibhana kis ko aata hai

Nibhana kis ko aata hai
woh mehfilon ki jaan hai dunya ke waaste
mughe se wahan mila tha jahan koi bhi na mila
meri dunya mein kisi roz sawera hota
tu kisi roop mein aata aur mera hota
gham jo mile the hum ko hamara naseeb tha
dunya ne un ko aur bhi nasoor ker diya
rafta rafta zeest humein le aae aise dora hai par
yaad rakha dunya dari ko aur mohabbat bhool gaye
ghairon se alt-fat pe toka to yun kaha
dunya mein baat bhi na karien kiya kisi se hum
kuch aur ker lo humein gawara ke doston
hum jaise log phir kahan dunya mein aaenge
mil na saka ager dil ko pyarr tumhara
aana pare ga mughe ko dunya mein dobara
yeh dunya hai jahan baatein banana sab ko aata hai
hazaroon pyarr kerte hain nibhana kis ko aata hai

Agar wo pyar kar leta...

Mera daman pakar leta
To
Jeevan mei faqat us se
Muhabbat farz ho jati..
Muhabbat qarz ho jati..
Magar
Acha kiya usne
Mujhe samjha k chal nikla
Mujhe thukra k chal nikla
Bht nadan sa hai wo
Abhi anjan sa hai wo
Kahan maloom hai usko
Muhabbat zindagi mei bas
faqat ik bar milti hai

Shabnami Sitaroon Per Phool Khilne Lagte hain
Chand Muskurate hain Ab Bhi Teri Aahat Per

Yeh aarzoo thi...

Yeh aarzoo thi ke haskar koi mila hota
Kahin to humse kisi ka dil aashna hota
Kisi ne bhi to na dekha nigaah bharke mujhe
Gaya phir aaj ka din bhi udaas karke mujhe
Saba bhi laayi na koi payaam apno ka
Suna rahi hai fasaane idhar udhar ke mujhe
Voh dard hai ke jisse seh sakoon na keh paaoon
Milega chain to ab jaan se guzarke mujhe
Gaya phir aaj ka din bhi udaas karke mujhe

Abhi soraj nahi doba....

Abhi soraj nahi doba zara se sham hony do
Main khud hi lot jao ga mujhy Nakaam hony do

Mujhy badnaam kerny ky bahane dhondty ho Q?
Main khud ho jaon ga badnaam pehly naam hony do

Abhi mujh ko nahi karna hai atraf-e-shikast
Main sub tasleem kerloon ga yah charcha aam hony do

Meri hasti nahi anmol phir bhi bik nahi sakta
Wafaain baich lena per zara nelam hony do

Naye aghaz main hi hosla kion tor baythay hoo
Jeet jao gey tum sub,zara anjaam hony doooo

Main teri ankhon se nahi...

Main teri ankhon se nahi
In may doob janey se darti hoon

Main teri muhabat se nahi
Teri intaha se darti hoon
Main raat ki tareeqi se nahi
Is tareeqi main basi apni tanhaiee se darti hoon
Mujhe bohat chahat hai tujhe paney ki
Liken tere door janey se darti hoon

Mujhe Acha Sa Lagta Hai...

Mujhe acha sa lagta hai
Bohat acha sa lagta hai
Tumhien ko dekhte rehna
Tumhien ko chahte rehna
Tumhien ko soochte rehna

Tumhien ko sunte rehna
Mujhay acha sa lagta hai
Bohat acha sa lagta hai
Bohat gehray khayaloon mein
Jawaboon main sawaloon mein

Mobhabbat kai havaloon mein
Tumhara naam aaaa jana
Mujhay acha sa lagta hai
Bohat acha sa lagta hai
Tumhary sung sung chalna

Wafa ki agg mein jalna
Tumhein naraz kar dena
Kabhi khud rooth bhi jana
Mujhay acha sa lagta hai
Bohat acha sa lagta hai

Kabhi iqrar kar lena
Kabhi inkar kar dena
Kabhi aankhon se kuch kehna
Kabhi keh kar mukar jana
Mujhay acha sa lagta hai
Bohat acha sa lagta hai

“Her Koi Dil Ki Hatheli Pey hAi Sehra Rakhey

Her Koi Dil Ki Hatheli Pey hAi Sehra Rakhey
Kis KO Sairaab Karay Wo Kis Ko piyasa Rakhey

Umer Bher Kon Nibhata Hay Ta’aluQ Itna
Aay Meri Jaan K Dushman Tujhay Aallah Rakhey

Hum Ko Achcha Nahe Lagta Koi Hum Naam Tera
Koi Tujh Sa Ho To Phir Naam Bhe Tujh Sa Rakhey

Dil Bhe Pagal Hai k Us Shaks Sey Vabasta Hai
Jo Kisi Or Ka Honay Dey Na Apna Rakhey

Ye Qanaat Hay,Aataaet Hay,K Chahat Hay Faraaz
Hum To Razi Hain Wo Jis Haal Main Ho Jaysa Rakhy

“Her Koi Dil Ki Hatheli Pey hAi Sehra Rakhey"

Abhi kuch dair baqi hai…!!

Abhi kuch dair baqi hai…!!
Khizan k beet janay main,
Guloun k Muskuranay main,
Khushi k geet ganay mein,
Baharon k zamanay main,
Abhi kuch dair baqi hai..!
Main tum ko bhool jaonga..!
Na tum ko Yaad aaonga..!
Main tum se dour reh k bhi,
Tumhain jee ker dikhaonga..!
Tumhain maloom hay laikin,
Yeh sub main kar na paaonga,
K tum ko bhool janay main,
Abhi kuch dair baqi hay..!

Yon Jazb Kar Liya Hay Tujhay....

Yon Jazb Kar Liya Hay Tujhay Roh Main Keh Ab
Aye Dost Tujh Ko Paanay Ki Hasrat Nahi Rahi

Tujh Ko Paanay Ki Tamanah Tu Mita Di Main Nay
Dil Say Lakin Teray Deedar Ki Hasrat Nahi Gaii

Hasrat Main Aa Gia Hoon Chaman Mian Ye Soch Kar
Shayed Yaha Khaloos Ki Koii Kali Milay Yaaro

Wo Khushyan, Wo Tabasum, Wo Kehqahay Na Rahay
Har Ak Cheez Ko Hasrat Say Dekhti Ho Tum

Sab Kay Dilo Main Hasraton Kay Rang Tu Moujood Hain
Aye Khailay Ham Tum Holi Ak Bana Kay Daira Jaanam

Nakaam Hasraton Kay Siwa Kuch Nahi Raha
Dunya Main Ab Dukho Kay Siwa Kuch Nahi Raha

Suno...

Suno...
tum to azm walay ho
bala ka zabt rakhtay ho
tumhai kuch bhi nahi hoga
magar dekho;
jisay tum choray jatay ho
usay to theek say shayad
bicharna bhi nahi ata
suno...
tum to azm walay ho
usay mat chor k jana.

Yeh zindagi bari ajeeb si...

Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi gulzar si kabhi bezar si
Kabhi khushi hamare sath sath
Kabhi ghamon ki barsat si
Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi tofanon main bhi hain raste
Kabhi manzilon ka pata nahi
Kabhi do kadam pe zindagi
Kabhi saddion tak intizar si
Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi her pal imtihan hai
Kabhi bin mange inam hai
Kabhi kuch nahi
Kabhi sab kuch si
Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi gulzar si kabhi bezar si

Yeh pal pal ka chalna....

Yeh pal pal ka chalna,
fasila khatam na karega,
Tum kitna bhi chaho,
tumhe woh kal na milega!

Yeh koi gaata hai,
ya namaaz padta hai,
Tum kitna bhi chaho,
tumhe alag khuda na milega!

Yeh guzarti hui raat hai,
ya nikalti hui sehar,
Tum kitna bhi chaho,
tumhe humsafar na milega!

Yeh Baarish ki boondein hain,
ya aankhon ke aansoon,
Tum kitna bhi chaho,
inhe thaamne wala na milega!

Yeh dil ke tukde hain,
ya aap ki yaadein,
Tum kitna bhi chaho,
tumhe marham na milega!

Yeh dil mein armaan hain,
ya sulagte hue sholey,
Tum kitna bhi chaho,
tumhe sehra mein paani na milega!

Yeh kaisi uljhan ban gayee hai,
dil ki dhadkan,
Tum kitna bhi chaho,
tumhe sukoon na milega!

Uss Ney Poocha

Uss Ney Poocha
"Ankhein Kaisey Beeghi Hein
Roi Roi Lagti Ho"
Mein Ney Uss K Samney Ankhein Poonchin
Palkoon K Geeley Farsh Saaf Kiye
Hans K Boli
Ankh Mein, Meri Hi Palkoon Ka Baal A Gya Tha
Ankhein Geeli Kar K Iss Ko Nikaala Hay
Dard Bari Hi Shidat Par Tha
Aur Abb ...... Abb Mein Theek Hoon
...... Roi Nahin Hoon

Kiya Khabar Thi ...

Kiya Khabar Thi Is Tarah Se Wo Juda Ho Jayega
Khawab Mein Bhi Uska Milna Haadsa Ho Jayega
Zindagi Ki Qaid-e-Gham Se Kiya Nikalogay Usey
Maut Jab Aa Jaayegi To Khud Raha Ho Jayega
Dost Bankar Usko Chaha Ye Kabhi Socha Na Tha
Dosti Hi Dosti Mein Wo Sanam Ho Jayega
Uska Parda Hoga Kiya Jiska Ke Parda ” Noor ” Hai
Jo Bhi Usko Dekh Lega Wo Fida Ho Jayega

Aaj dil dukha hai...

Aaj dil dukha hai,
Tum yaad aaye
Anjaane log hai,
aapne kahaan dhoond paaye
Jaage hain, soye nahi
Aisi hai meri yeh bechaini
Din bhi wohi, raatein wohi
Saanson mein saansein hain nahi
Shaamein ab dhalti nahi
Aanchal joh tera simaat jaaye
Aap yahaan hamesha raahein
Doori rahe na ho faasile
ab aagar tum mile toh
Itna yakeen hai
Hasss deinge hum toh
Roona nahi hai

Kaha Dil, ney zara tehro...

Kaha Dil, ney zara tehro
key aise he koi sa'aat, hamarey dar per tehri thee
to hum ney bheer sey ik qaaafley ka roop dhara tha
chalo phir laut ker deikhein
woh khushbo sey bhara raasta
jo manzil ki nishane tha
yeh jo uljhan bharey manzer hamarey saath chaltey hein
kahan key hein ... ?
woh kaisa mour tha jis per
hamare rehguzer key hashiyoon per dhund utri thee!
yeh jo charoon taraf pag-dandiyoon ka jaal pheila hey
kahan bunyaad hey is ki?
woh jo nisf safer mein khawaab key tukrey huey, is mein
hamare kaj rawe kia thee, aadoo ka haath kitna tha?
safer ki ibtiidaa mein qatel they
jinhoon ney adel key tukrey kiye aur aashtee ka khoon bahaya tha!
aur un key baad jo aye woh kitney bad iradah they!!
mein jab is khooj mein nikla
key merat muhsinoon key khuwaab ka khushbo bhara raasta
kahan khooya!
to aisa tha key rastey mein, mein jis bhe mour per tehra
wahan ik dard ka darya muqabil tha
nidamet ke ghutan her ik qadem per saath thee meray
so, mein is khuwaab key senay sey lag ker
deir tak rooya,
bohat rooya.

chandni raat k hathon pay sawar utri hai

chandni raat k hathon pay sawar utri hai
koi khushboo meri delhiz k paar utri hai

is main kuch rang bhi hain khuwab bhi mehkar bhi hai
jhilmilati hui khawish bhi inkaar bhi hai

isi khushboo main kayi dard bhi afsanay bhi
isi khushboo nay banaye kayi dewanay bhi

meray anchal pay umeedon ki qitar utri hai
koi khushboo meri delhiz k paar utri hai

isi khushboo say kisi yaad k der khultay hain
meray pairon say jo liptay to safar khultay hain

yahi khushboo jo mujhey ghar say utha layi thi
ab kisi tor palat ker nahi janay deti

meri delhiz bulati hai mujhey loot aao
yahi khushboo mujhey wapis nahi aanay deti

ranj or dard main doobi bahar utri hai
koi khushboo meri delhiz k paar utri hai

Kaash! Mujhe Bhi Baatein Aati???

Mujh Ko Baatein Kab Aati Hain ?
Main To Bus Khamosh Sa Shaayer
Ulfat Chahat Ke Rango Se
Dil Ki Khali Tasveero Mein
Koi Mohabbat Likh Deta Hoon …

Aur Kabhi Deewar Se Lagkar
Koi Mohabbat Ro Deta Hoon …
Aur Kabhi Aankho Aankho Mein
Saari Baatein Keh Jata Hoon ….
Main To Ek Khamosh Sa Shaayer
Mujhko Baatein Kab Aati Hain ???

Mujh Ko Baatein Gar Aati To
Tum Kiya Mujh Ko Chhor Kar Jaati ???
Mere Sapne Tod Kar Jaati ???
Kiya Meri Aankho Mein Dukh Ke
Itne Aansoo Dekh Sakti Thi ???
Mera Kul Sarmaya Tha Jo
Kiya Mujhse Woh Le Sakti Thi ???

Mujh Ko Baatein Gar Aati To
Main Bhi Tumse Woh Sab Kehta
Jo Tum Sunne Ki Khwahish Mein
Saare Raaste Bhool Aayi Ho
Saare Rishte Bhool Aayi Ho
Main Thera Khamosh Sa Shaayer

Mujh Ko Baatein Gar Aati To
Tum Bhi Mere Khwab Sajaati
Yoon Na Tanha Chhor Kar Jaati
Kaash ! Mujhe Bhi Baatein Aati ..

Main Thera Khamosh Sa Shaayer
Kaash! Mujhe Bhi Baatein Aati???

meri dua hai ...

meri dua hai
naya baras ho tumharay jaisa
na dil kisi ka dukhanay wala
muhabbaton ka rafaqaton ka
charagh her su jalanay wala
jahan main koi nahi hai jin ka
unhain galay se laganay wala
ujaar ankhon ko zindagi ka
dobara sapna dikhanay wala
udas logon k angano main
khushi ki bailain uganay wala
faqat muhabbat, faqat muhabbat
faqat muhabbat sikhanay wala...

Jo chala gaya mujhay chor kar

Jo chala gaya mujhay chor kar
main kabhi na usko bhula saka
wohi duriyaan wohi faslay
main kabhi na unko mita saka
kiya usay bhi mujh say pyaar tha
ya shayad usay shaoor tha
wo koi ajeeb sawal tha
jo mere samjh main na a saka
mere zindagi ka sakoon tha wo
meray dil ka aik junoon tha wo
yahi sochta tha main rat bhar
yahi baat na main us ko bata saka
jo kabhi milay ga bahir to
karoo ga main us say shikayataain
wo mila to main lab na hila saka
main kabhi na usko bhula saka

Kahan milogay tum...

Batao aaj kahan milogay tum....
Tumhain ik phool dena hai
Tum se ik ehad lena hai,
Tumhain emaan kehna hai,
Tumhain dil, dharkan, jaan kehna hai...
Jo juda karne ki hain sazishe,
Unhen bejaan kehna hai..
Haan tumse bohat kuch kehna hai..
Batao!
Kya mohabbat main ik phool kafi hoga..
Ya phir tum chand mango gay,
Ya meri jaan mango gay,
KYa hamesha ka tum sath mango gay...
Batao!
Kahan milogay tum...
Tumhain ik phool dena hai...!!!

kabhi mujhko manao tum..

kabhi mujhko manao tum
mein tumse rooth gar jaoon
to mere paas ao tum
mere chehrai ko dekho yun
jaisai kuch kho gaya tumse
meri ankhoon mein dekho yun
jaisai kuch jaan na chahoo
mere hathoon mein ai hum dam
tum apna naam likh jao
yunhi bekhayali mein
mujhe hairaan kar jao
kabhi uljhi latoon ko tum
barai hi pyar sai suljhao
kabhi bikhri si zulfoon se
shararat yunhi kar jao
mein jo khafa si ho jaoon
furan masoom ban jao
yunhi benaam si baatoon sai
mere dil ko behlao tum
kabhi ansoo jo beh jain
to tum bechain ho jao
kabhi ashkhoon ko mere tum
apnai naam kar jao
kabhi haulai sai keh jao
roti tum achi nahi lagti
phir aglai pal shararat sai
mujhe dekho aur keh jao
mujhe roothi roothi si ai janam
bauhat achi tum lagti ho
yunhi pal bhar mein ai janaan
mujhe hairaan kar jao
kabhi jo dil zara samlai
tumhein har pal mein sochoon mein
kabhi khud sai hi muskaon
kabhi naraz ho jaoon
tumharai aks sai ai hum dam
mein har ek baat keh jaoon
apni sansain bhi ab to mein
tumharai naam kar jaoon
yunhi lamhoon mein roothoon mein
yunhi mujh ko manao tum
yunhi mohabbat mein beetain din
yunhi mujh mein samao tum
mein tumse rooth gar jaoon
to mere paas ao tum

December jab bhi ata hai...

December jab bhi ata hai
wo pagli
Phir se..
beetay mausam ko
yaad karti hai
purana card parhti hai
kay jis main us nay likha tha
main loton ga december main
naye kaprey banati hai
wo sara ghar sajati hai
December kay har aik aik din ko
wo gin gin kar batati hai
Joon hi 15 guzarti hai
woh kuch kuch toot jati hai
Magar phir bhi
Purani albums ko khol kar
Maazi bhulati hai..!!

Nahi maloom yeh us ko
Kay beetay waqt ki khushian
Bohat takleef deti hain
Mehaiz dil ko jalati hain
Yunhi din beet jatey hain
December lot jata hai
Magar woh khush feham larki
Dobara say calendar main
December k mahinay k safey ko
Mor kar
Phir se..
December ki sehar main
Doob jati hai
Kay akhir us nay likha tha

"MAIN LOTON GA DECEMBER MAIN"

Tum yaad aaye !!--

Phir saawan rutt ki pawan chali -- tum yaad aaye
Tum yaad aaye
Phir saawan rutt ki pawan chali -- tum yaad aaye
Tum yaad aaye

Phir paaton ki paazaid baji
Phir paaton ki paazaid baji
Tum yaad aaye
Tum yaad aaye

Phir boondain bolin ghaans kay harray samandar may
Phir boondain bolin ghaans kay harray samandar may
Rutt aayi peelay phoolon ki
Rutt aayi peelay phoolon ki
Rutt aayi peelay phoolon ki

Rutt aayi peelay phoolon ki
Tum yaad aaye
Tum yaad aaye
Phir saawan rutt ki pawan chali -- tum yaad aaye
Tum yaad aaye

Phir kaaga bola ghar kay soonay aangan may
Phir kaaga bola ghar kay soonay aangan may
Phir amrit rass ki boondh padi
Phir amrit rass ki boondh padi
Phir amrit rass ki boondh padi

Phir amrit rass ki boondh padi
Tum yaad aaye
Tum yaad aaye
Phir saawan rutt ki pawan chali
Phir saawan rutt ki pawan chali -- tum yaad aaye
Tum yaad aaye

Phir paaton ki paazaid baji
Phir paaton ki paazaid baji
Tum yaad aaye
Tum yaad aaye

Sham-e-firaq ab na pooch

Sham-e-firaq ab na pooch
aayi aur aake dhal gayi
Dil tha ki phir behal gaya
jaan thi ki phir sambhal gayi
Buzm-e-khayal me
tere husn ki shamma jal gayi
Dard ka chand bujh gaya
hijar ki raat dhal gayi
Jub tujhe yaad kar liya
subha mehak mehak uthi
Jub tera gham jaga liya
raat machal machal gayi
Dilse to har mamla
kar ke chale the saf hum
kehne me unke samne
baat badal-badal gayi

Bas Eik lamhay ka jhagra tha

Bas Eik lamhay ka jhagra tha
Dar O deewar pe aisay chnaky se giri awaaz
jaisay kaanch girta hai
Her eik shay mein thi urrti hoi jalti hoi kirchain
Nazer mein baat mein lehjay mein soch or sans k ander
Laho hona tha eik rishtay ka
so woh ho gaya us din
Ushi awaaz k tukray utha ker farash se
kisi ne kaat daali nabz
Na ki awaaz k koi jaag na jaye
Bas eik lamhay ka jhagra tha. . .

Dard kuch dair hi rEhta hai. . .

Dard kuch dair hi rEhta hai. . .
bUhat dair nahi !
Jiss terhan shakh se touray hoye eik patay ka rang
mand parr jata hai
kuch rooz alag shakh se reh ker
shakh se toot ker yeh dard jeeye ga kab tak?
khtam ho jaye gi jab iss ki rasad
Timtimaye ga zara dair ko bujhtay bujhtay
Or phir lambi c eik saans dhuain ki lay ker
khtam ho jaye ga yeh dard bhi bujh jaye ga
Dard kuch dair hi rehta hai buhat dair nahi. . .

Saturday, September 3, 2011

Woh pagli si deewani si....

woh pagli si deewani si
kuch khoi si anjaani si
khud sai woh baatain karti hi
khud sai woh uljhi rehti hai
kabhi khawaboon ko woh bunti hai
khayaloon mein doobi rehti hai
kabhi chand ko banati hai humraz
kabhi kirnoon kai sang jagti hai
hathoon ki lakeeron ko aksar
janai kyon takti rehti hai
woh kis ko khoojti rehti hai
woh khabti si deewani si
kuch nadaan si kuch sehmi si
rangoon kai sang woh chalti hai
kehti hai khushboo naam mera
woh andheroon sai nahi darti hai
kabhi khawaish sai kabhi armaan sai
har lamha raushan karti hai
woh komal si woh kamsin si
ankhoon main dheroon khawab liyai
palkoon mein tumhein sajati hai
rahoon mein tumharai bethi woh
kitnai hi pal beetati hai
kabhi aas kai lamhoon mein jeeti
woh khawaboon ko mehkati hai
kabhi wafa ki shama raushan kiyai
tumharai naam ka diya jalati hai
woh pagli si deewani si
kuch khabti si anjaani si
apni hi baatain sochai jo
khud aap hi aap muskaati hai
dil ki dharkan jo sun lai to
khud hi woh Sharma si jaati hai
woh kehti kuch nahi lekin
ankhoon sai sab kehjaati hai
woh pagli si deewani si
jo tumhein sochti hai har dam
tumhein panai ki duain karti hai
woh khoi si anjaani si
tumse mohabbat karti hai...

Man-Gharat Kahani...

uss man gharhat kahani ka ik baab bohot hi achha tha,
kahani thi ya afsana tha pr unwaan bohot hi achha tha,
her ik lafz ko parha main ne barey hi armanoon se,
khoon-e-dil ki sayyahi se likhha pyaar ka
wo iqraar bohot hi achha tha,
janey wala chala gya mera dil ussi k saath gya,
pr jatey howey uss ka wo aakhri slam bohot hi achha tha,
laal gulabi chehrey pr achha sa ik chashma tha,
main her ik se kehta hoon mera dildaar bohot hi achha tha,
main pagal dewana hoon pagal hi naam mera,
uss k liyey mera yeh naam bohot hi achha tha

meri tehreer k ansu...

suna ho ga bohat tum ne.
kaheen ankho ki rim jhim.
kaheen palkon ki shabnam.
parha ho ga bohat tum ne.
kaheen lehjey ki barish.
kaheen sagar k ansu.
magar tum ne kabhi humdum.
kaheen dekhey? kaheen parkhey?
kisi tehreer k ansu.
mujhe teri judai ne.
yehe mehraj bakhshi hai.
k main jo lafz likhta hon.
wo sarey lafz rotey hain.
k main jo hurf bunta hon.
wo sarey ben kartey hain.
mere sang iss judai main.
mere alfaz rotey hain.
subhe tahreef kartey hain.
meri tehreer ki lakin.
kabhi koi nahi sunta.
mere alfaz ki saski.
falak b jo hila daley.
mere lafzon main hain shamil.
ussi taseer k ansu.
kabhi dekho mere humdum.
meri tehreer k ansu.

Abhi wo dard baqi hai ...

Abhi wo dard baqi hai
Agarcha waqt marham hai
Magar kuch waqt lagta hai
Kisi ko bhool janay main
Dobara dil laganay main
Abhi kuch waqt lagna hai
Abhi wo dard Baqi hai
Main kaisay nai Ulfat main
Apni Zaat gum kar don
Keh mayray jism-o-wajdaa.n main
Abhi wo fard baqi hai
Abhi uss shakhs ki mujh pay
Nigah-e-sard baqi hai
Abhi tu ishq kay rastoo.n ki
Mujh pay gard baqi hai
Abhi wo dard baqi hai ...

ab meray, sirf meray ho k raho...

apni khaatir jagay ho, soay ho,
apni khaatir hansay ho, roay ho,
kis liyay aaj khoay khoay ho?
tum nain aansoo bahoot piyay apnay,
tum bahoot saal reh liyay apnay,
ab meray, sirf meray ho k raho,
tum azzal say dukhoon k dairay ho,
jub say paida hoay ho, mairay ho,
aaj kholain gay lub siyyay apnay,
tum bahoot saal reh liyay apnay,
ab meray, sirf meray ho k raho,
ab mujhay apnay dard sehnay do,
dil ki har baat dil say kehnay do,
meri bahoon mein khud ko behnay do,
muddatoon zakham khud siyay apnay,
tum bahoot saal reh liyay apnay,
ab meray, sirf meray ho k raho,
husn hi husn ho, zahanat ho,
ishq hoon main, to tum mohabbat ho,
tum meri, bus meri amanat ho,
gee liyay jiss qaddar jiyay apnay,
tum bahoot saal reh liyay apnay,
ab meray, sirf meray ho k raho...

Kaho wo dasht kaisa tha?

kaho wo dasht kaisa tha?
jidher ankhein ganwaa ayee

kaha' sailab jaisa tha
'bohat chaha k bach niklien
magar sub kuch baha ayee

kaho wo hijar kaisa tha ?

kaha bas aag jaisa tha'
usay choo ker to
apni rooh yeh tan-man jala ayee

kaho ' wo wasl kaisa tha?
tum nay jab choo liya use tou
kya ehasas jaaga tha?


kaha ' aik rastay jasay jidhar say
bas guzarna tha makan lakin bana ayee

kahoo ' wo chand kaisa tha?
falak say jo utar aya
tumhari ankh mai busnay?

kaha 'wo khawab jaisa tha
nahi tabeer thi uski,
usay aik shab sula ayee

kahoo ' wo ishq kaisa tha
bina sochay bina samjhay
bina parkhay kia tum nay?

kaha' title k rung jaisa
"bohat dilkash magar kaccha"
jabhi us ko bhula ayee

kaho' wo naam kaisa tha?
jise sehraoon aur chunchal
hawaoon par likkha tum nay?

kaha' bas mausamo jaisa najanay
kis tarhan kis pal kis row may
mita ayee...!!!

Ager Ham Dost Hotay Tu

Ager Ham Dost Hotay Tu
Karam Ke Intaha Kartay
Tumhay Palkoon Pay Rakhtay
Tumhay Dil Main Basatay Ham
Ager Tum Routh Jatay Tu
Tumhay Kitna Manatay Ham
Ager Milnay Tum Na Aatay Tu
Aa Kar Khud Tumhay Miltay
Tumharay Lagzishoon Ko Bhi
Hansi Main Ham Ura Detay
Ager Apni Khata Hoti
Khud Ko Bhi Saza Detay
Mager Yeh Sab Jab He Tha
Ager Ham Dost Hotay
Mager Itna He Jana Hay
Keh Tum Nay Aaj Tak Ham Ko
Paraya Keh Kar Jana Hai
Kabhi Hamdam Na Mana Hai
Ager Ham Dost Hotay Tu

ai sathi kya kahoon tum sai

ai sathi kya kahoon tum sai
mohabbat kis rang mein dhalti hai
meri churi ki khanak ban kar
meri dharkan mein basti hai
meri sansoon mein shamil hai
har ek ehsaas is ka yun
ye dil ban kar jaisai
seenai mein dharakti hai

meri kajal sai poocho to
mohabbat khawab ki surat
meri palkoon mein basti hai
meri ankhoon mein dekho to
mohabbat paighaam ki surat
dhanak rangoon mein khilti hai

meri muskaan jo dekho gai
mohabbat khushi ki manind
aap nai paas pao gai
meri hansi suno gai to
mohabbat shokhi bhi dhali
ek shararat si tumhein nazar ai gi
mohabbat kantoon par chal kar bhi
rahoon mein bichti hai

ai sathi kya kahoon tum sai
mohabbat khushboo ban kar
meri zaat mein mehakti hai

jhuki hein ab meri nazrein...

jhuki hein ab meri nazrein,
tumhe jo yaad kerti hein,
baharein laut lao gey,
kaho ik din tum aao gey.
woh sari teri perchaiyan,
tasawar ki woh tanhaiyan,
jo aankhon se barasti hein
kaho sab chor aao gey.
kaho ik din tum aao gey.
ye arzan hai khazan hum per,
pholon ka hai eeman tum per,
muhabat tor lao gey,
kaho ik din tum aao gey.
kyun nazrein teri piyasi hein,
kaho kis ki matlashi hein,
hakiqat ban ke aao gey,
khawabon ko tor jao gey.
kaho ik din tum aao gey.

kuchh din to baso merii aa.Nkho.n me.n

kuchh din to baso merii aa.Nkho.n me.n
phir Khvaab agar ho jaao to kyaa

koii rang to do mere chehare ko
phir zaKhm agar mahakaao to kyaa

ik aaiinaa thaa so TuuT gayaa
ab Khud se agar sharmaao to kyaa

mai.n tanahaa thaa mai.n tanahaa huu.N
tum aao to kyaa na aao to kyaa

jab ham hii na mahake phir saahib
tum baad-e-sabaa kahalaao to kyaa

jab dekhane vaalaa koii nahii.n
bujh jaao to kyaa jal jaao to kyaa

Kaheen mille to uss se kehna

kaheen mille to uss se kehna
k tanha saawan bita chuka hoon
mein sarre armaan jala chuka hoon
bharke the jo shillet khushion k
wo aansooon se bhujha huka hoon

kaheen mille to uss se kehna
k bagher uss k UDAAS hoon mein
badalti rutt ki kayas hoon mein
bhujha de apni muhabaton se
sulagti sadiyon ki pyas hoon mein

kaheen mille to uss se kehna
k jaaq daaman ko see raha hoon
bari hi mushkil se jee raha hoon
dia jo nafrat ka zehar uss ne
badal k AMRIT pee raha hoon

kaheen mille to uss se kehna
k wo jazbaat mere kuchal gayi hai
jafaoon k saanche mein dhal gayi hai
na badle the mausab b itni jaldi
k jitni jaldi wo badal gayi hai

kaheen mille to uss se kehna
k fazeel nafrat ko gara raha hoon
gaye dino ko bhula raha hoon
wo apne waadon se phir gayi hai
mein apne waade nibha raha hoon

kaheen mille to uss se kehna
k na dil mein koi malaal rakhe
humesha apna khayal rakhe
gham sarre somp de mujh ko
saari khushiyan sambhaal rakkhe...