Thursday, September 8, 2011

K hum tum bin adhoray hain...

Tumhain ik baat kehni hai ,magar naraz mat hona,
Ke tum jo har ghari mujh ko itna yaad aatay ho ,,
Hamehin itna statay ho ,,,,
Ke hum tum door hain dono,bohat majboor hain dono,
Na itna yaad aao tum , na yun itna satao tum,
Ke itna yaad aakar yun, hamain pagal bana ke tum,
Faqat itna bata do ke, hamari jaan lo ge kya ?
Magar ye bhi haqiqat hai, tumhari yaad hi to hai,
Jo har pal saath rehti hai ,
Khushi mein bhi ghamon mein bhi ,udasi ke palon mein bhi,
Tumhari yaad hi to hai,
Jo har pal ye batati hai ,mujhe ehsaas dilati hai,

KE HUM TUM BIN ADHURAY HAIN