Tuesday, September 27, 2011

Saans lainay ki to aazadi muyassar hay……..magar

Zindagi kay jitney darwazy hain, mujh par band hain
Dekhna
Hadd-e-nazar say aagy barh kar dekhna bhi jurm hay
Sochna
Apnay aqeedo’N aur yaqeeno’N say nikal kar sochna bhi jurm hay
“Kyun” bhi kehna jurm hay
“kesay” bhi kehna jurm hay
Saans lainay ki to aazadi muyassar hay……..magar
Zianda rehny kay liay insaan ko…….kuch “aur” bhi darkaar hay
Aur…….is kuch “aur” bhi ka tazkara bhi jurm hay
Ay hunar mandaan-e-aaeen-o-sayasat
Ay khuda vandaan-e-eewan-e-aqaaid
Zindagi kay naam par, bas ik inayat chahiay
Mujh ko in saary jarayam ki ijazat chahiay