"Waqt" k pardah-e-tareek pe likkha mein ne
"Gulshan-e-zeest ki hai shahid-o-meena se bahar"
Chand lamhon k liye reh k darakhshan lekin
Mit gaye dekhte hi dekhte ye naqsh-o-nigar
Aah!kis cheez ko is daar-e-fana mein he qaraar!
"Waqt" k pardah-e-tareek pe likkha mein ne
"Maqsad-e-zeest hi takmeel-e-hunar azmat-o-naam"
Naqsh they ye bhi bohat shokh mager aakhir kaar
Ho gaye pardah-e-tareek mein roo poash tamaam
Aah!her naqsh-e-darakhshan ka yahi he anjaam!
"Waqt" k pardah-e-tareek pe likkha mein ne
"Noor-e-haque se hai syah khaana-e-hasti roshan"
Kaanpte kaanpte kafoor hui zulmat-e-"waqt"
Haque hi haque mahfil-e-imkaan mein raha jalwah-e-figan
Hai fana k liye paighaam-e-fana haque ki kiran...!!!!