Yeh jo waqt he meray shehar par kayi mosmooN sy ruka hoya
issay izn day keh safar karay
issay khukm day keh chal parray, meray aasmaaN say door ho
koyi chand chehra kushaa karay, koyi aaftaab zahoor ho
keh nawa-e-chashm-e-kheyaal mein woh jo khwaab thay, woh dhuaaN hoye
woh jo aag thi woh naheen rahi, jo yaqeen thay woh gumaaN hoye
koyi dhund hai jissay dekhtay meri aankh baraf si ho gayi
woh ibarat-e-sir-e-loh-e-dil, kissi rabt say naheen aashna
keh jo roshni thi kitaab mein wohi harf harf si ho gayi
koyi gardbaad uthay kaheen, kissi zalzaly ki namood ho
yeh jo "hast" he meray chaar soo, koyi mojaza keh yeh "bood" ho
meri aankh mein yeh jo raat hai, meri umr si, issay taal day
meray dasht-e-raig-e-malaal ko kissi khushkhabri ka ghazzaal day
yeh falk pe jitnay nujoom hain teray hukm kay hain yeh muntazir
woh jo subh-e-nau ka naqeeb ho meri simt us ko uchhaal day