Nibhana kis ko aata hai
woh mehfilon ki jaan hai dunya ke waaste
mughe se wahan mila tha jahan koi bhi na mila
meri dunya mein kisi roz sawera hota
tu kisi roop mein aata aur mera hota
gham jo mile the hum ko hamara naseeb tha
dunya ne un ko aur bhi nasoor ker diya
rafta rafta zeest humein le aae aise dora hai par
yaad rakha dunya dari ko aur mohabbat bhool gaye
ghairon se alt-fat pe toka to yun kaha
dunya mein baat bhi na karien kiya kisi se hum
kuch aur ker lo humein gawara ke doston
hum jaise log phir kahan dunya mein aaenge
mil na saka ager dil ko pyarr tumhara
aana pare ga mughe ko dunya mein dobara
yeh dunya hai jahan baatein banana sab ko aata hai
hazaroon pyarr kerte hain nibhana kis ko aata hai