Tuesday, September 27, 2011

Ay Gham-e-Yaar Thehar Aaj Ki Shab...

Ay gham-e-yaar thehar aaj ki shab
lag chuki teri sayahi dil per
aa chuki jo thi tabahi dil per
zard hay rang-e-nazar aaj ki shab
khaak ka dhair huway khuwaab nagar
aaj ki shab
ay gham-e-yaar theher aaj ki shab
kam-nazar daikh hawa ki aahatt
kis ki khusbhu mai basi aati hay
kon saa aks hay jis ki khaatir
aankh aaiyna bani jaati hay
kis tarah chaand achanak jhukk ker
sard shaakhon say lipat jaata hay
kis tarah rang-e-chaman
ik chehray mai simatt jaata hay
saill-e-amwaaj-e-tamanna kaisay
saahil-e-dil say palat jaata hay
aur kis taur say tay hota hay
lerrkharratay huway taaron ka safar
aaj ki shab
bay-hunar aaj ki shab
mujhay jee bhar kay ussay yaad to ker lainay day
daulat-e-dard hi sahi, jee to bhar lainay day