Saturday, September 3, 2011

Woh pagli si deewani si....

woh pagli si deewani si
kuch khoi si anjaani si
khud sai woh baatain karti hi
khud sai woh uljhi rehti hai
kabhi khawaboon ko woh bunti hai
khayaloon mein doobi rehti hai
kabhi chand ko banati hai humraz
kabhi kirnoon kai sang jagti hai
hathoon ki lakeeron ko aksar
janai kyon takti rehti hai
woh kis ko khoojti rehti hai
woh khabti si deewani si
kuch nadaan si kuch sehmi si
rangoon kai sang woh chalti hai
kehti hai khushboo naam mera
woh andheroon sai nahi darti hai
kabhi khawaish sai kabhi armaan sai
har lamha raushan karti hai
woh komal si woh kamsin si
ankhoon main dheroon khawab liyai
palkoon mein tumhein sajati hai
rahoon mein tumharai bethi woh
kitnai hi pal beetati hai
kabhi aas kai lamhoon mein jeeti
woh khawaboon ko mehkati hai
kabhi wafa ki shama raushan kiyai
tumharai naam ka diya jalati hai
woh pagli si deewani si
kuch khabti si anjaani si
apni hi baatain sochai jo
khud aap hi aap muskaati hai
dil ki dharkan jo sun lai to
khud hi woh Sharma si jaati hai
woh kehti kuch nahi lekin
ankhoon sai sab kehjaati hai
woh pagli si deewani si
jo tumhein sochti hai har dam
tumhein panai ki duain karti hai
woh khoi si anjaani si
tumse mohabbat karti hai...