Saturday, September 3, 2011

Kaheen mille to uss se kehna

kaheen mille to uss se kehna
k tanha saawan bita chuka hoon
mein sarre armaan jala chuka hoon
bharke the jo shillet khushion k
wo aansooon se bhujha huka hoon

kaheen mille to uss se kehna
k bagher uss k UDAAS hoon mein
badalti rutt ki kayas hoon mein
bhujha de apni muhabaton se
sulagti sadiyon ki pyas hoon mein

kaheen mille to uss se kehna
k jaaq daaman ko see raha hoon
bari hi mushkil se jee raha hoon
dia jo nafrat ka zehar uss ne
badal k AMRIT pee raha hoon

kaheen mille to uss se kehna
k wo jazbaat mere kuchal gayi hai
jafaoon k saanche mein dhal gayi hai
na badle the mausab b itni jaldi
k jitni jaldi wo badal gayi hai

kaheen mille to uss se kehna
k fazeel nafrat ko gara raha hoon
gaye dino ko bhula raha hoon
wo apne waadon se phir gayi hai
mein apne waade nibha raha hoon

kaheen mille to uss se kehna
k na dil mein koi malaal rakhe
humesha apna khayal rakhe
gham sarre somp de mujh ko
saari khushiyan sambhaal rakkhe...