ai sathi kya kahoon tum sai
mohabbat kis rang mein dhalti hai
meri churi ki khanak ban kar
meri dharkan mein basti hai
meri sansoon mein shamil hai
har ek ehsaas is ka yun
ye dil ban kar jaisai
seenai mein dharakti hai
meri kajal sai poocho to
mohabbat khawab ki surat
meri palkoon mein basti hai
meri ankhoon mein dekho to
mohabbat paighaam ki surat
dhanak rangoon mein khilti hai
meri muskaan jo dekho gai
mohabbat khushi ki manind
aap nai paas pao gai
meri hansi suno gai to
mohabbat shokhi bhi dhali
ek shararat si tumhein nazar ai gi
mohabbat kantoon par chal kar bhi
rahoon mein bichti hai
ai sathi kya kahoon tum sai
mohabbat khushboo ban kar
meri zaat mein mehakti hai