tujhe naaz haii keh main husn hoon
mere gulistaaN ko zawaal kaya
mujhe fakhR haii keh maen ishQ hoon
j0 jala na duun to kamaal kaya
mujhay zindagii kii dua na day
mujhay zindagii kii talab nhi
merii maut ko jo taal day
is zindagii kii majaal kaya
hamen manziloN kii khabR nhi
hamen rah-guzR kii talaash hei
us rah-guzr pe nikal parrayy
to urooj kaya, zawaal kaya
teray pyaaR mei shikweyy, gileyy
terii in adaa0N pe marr chalayy
jo hayaaT thii tujhe waaR dii
tu jawab kaya, aur sawal kaya
thii jo ik ada-e-dil-bari
saarii umeR ussii pe waar dii
~terii yaad mei sabb guzar gaey. . . .. . shab-0-roz kaya, maah-o-saal kaya. .. . . .~