Wednesday, September 21, 2011

Alaao (Gulzar)

Raat bhar sard hawa chalti rahi
Raat bhar hum nay alaav taapa
Main nay maazi say kai khushk see shaakhien kaati
Tum nay bhi guzray huway lamhon kay pattay torray
Mein nay jaibon say nikali sabhi sukhi nazmain
Tum nay bhi haathon say murjhaaye huey khat kholay
Apni in aankhon say mein nay kai manzar torray
Aur haathon say kai baasi lakeeren phenki
Tum nay, palkon pay nami sookh gayee thee, so gira di
Raat bhar jo bhi mila ugtay badan par humko
Kaat kay daal diya jaltay alaawon main usay
Raat bhar phoonkon say har lau ko jagaye rakha
Aur do jismon kay eendhan ko jalaye rakha
Raat bhar bujhte huey rishtay ko taapa hum nay