Mujhe ma’loom hai asaan lagta hai
tumheiN raahain badal lena
koi bhi moR muR jaana
kisi manzil ko tohkar maar kar waapis chale aana
ya manzil ko faqat ik junbish-e-lab se
buhat nazdeek le aana
mujhe maloom hai
buhat asaan hai tum ko palat jaana
merii tum be-bassi dekho
mujhe tum se mohabbat k siwaa kuch nahi aata
magar iss meiN bhi kab koi qareena seekh paai meiN
ye dekho aankh rona chahti hai
phir bhi banjar hai
ye dekho haath kitne sard hai mere
ye dekho dil ki dharkan kis tarah
tarteeb ho kar doobne ko hai
ye dekho mera aanchal haathoN se phissal kar urr geya kab se
ye dekho saans ki dorri bhi mujhse chuhtne ko hai
mere ehsaas ka resham ulajh kar tootne ko hai
mujhe to ye hunar bilkul nahi aata
k kaise apne zakhmoN ko chuhpaate heiN
ya kaisi roothi saansoN ka daaman
thaam kar waapis bulaate heiN
buhat be-khaawab aur weeran mosam meiN
khafa neendoN ko kya kah kar manaate heiN
mujhe ye hunar bilkul nahi aata
k kaise apne mar jaane pe nohey aap kartey heiN
yaa apne hi gale lag kar dilaasa kaisey dete heiN
phir apni hi laash ko kaese
kisi paayaab dariya…….
ya kisi adh-bujhi taaza chitaa meiN jhohnk dete heiN
ya phir aakaash ke neeche khula hi chohr dete heiN
mujhe to ye hunar bilkul nahi aata
ke kaise zard mousam meiN
kisi bhi sard aur be-dard mousam meiN
khushi ka aik bhi Ghuncha
bhala kaise khilaate heiN
ya kaisey aadhey rastey se gharoN ko louT jaate heiN
mujhe bilkul nahi aata
mujhe tum se mohabbat ke siwa
( magar wuh bhi kahaaN aai )
koi hunar bilkul nahi aata..!!~~♥♥...