Wednesday, August 31, 2011

Iss nazm ko unwaan kya do gay??

Kabhi fursat me aao to meri ek nazm se milna
Magar iss nazm ka dhaaga
Tumhaari yaad ka lehja badalte hi na jaane kyun ulajh kar TooT jata hai
Tabhi to iss ki satrain ja ba ja bikhri huwi hain
Koi takye ki shiknon me buhat TooTi huwi neendon ki ankhon main pari hai
Koi dehleez par ahaT ki baali kaan me daalay khari hai
Koi rukhsaar pay aansoo ki soorat jum gayi hai
Koi dil se labon tak aate aate tham gayi hai
Koi bookshelf me bechain haatho se uTha kar bin parhay rakhi kitabon me pari hai
Koi ehsaas ki ankhon me kankar ki tarah atki hui hai
Koi uss udh jaley cigarette me lipti reh gayi hai
Jisse jaane ki jaldi me piye bin ash tray me tum ne chorra tha
Ziyan ki dhool ban kar paon se lipti hain kuch satrein
Kahin ek satr ke andar shikasta maan se bheegi huwi palkein pari hain
Kahin ek satr me wo chaand atka hai
Meray kamre ki khiRki se jisse tum dekh kar sheeshe se uljha choR aaye thay
Koi ek satr uss chaaye ki pyaali me pari ho gi
Piye jaane ke khaahish me jo table par hi rakhi reh gayi thi
Kahin ek satr me khaabon ka wo rasta bhi rakha hai
Main jiss par apni aankhein bhool aayi hoon
Kahin ek satr ke andar meri wo saans rakhi hai
Tumhaari be nishan masroofiyat ke bojh se jiss ko main ab tak ji nahi paayi
Koi ek satr shayed Daakiye ki cycle ki chain me uljhi huwi hai
Tumhaara khat liye bin iss saRak par kyun wo aata hai ???
Zara sa ghor se sun'na
Receiver me tumhaare phone ke shayed meri awaz rakhi ho
Issay ab parcel kar do to main iss se bhi kuch bheegi huwi satrain bana loon gi
Abhi dil ki hathaili par bhi kuch satrein pari hain
Buhat nazuk hain , lafzon se chhuwa to TooT jaein gi
Koi in muntazir ankhon me rakhi hai
Jinhe tum apna keh kar bhool jaatay ho
Yahin ek satr ki ankhon me mera khaab rakha tha
Tumhaari berukhi ke paon se kuchla para hai
Mere iss khaab ka tawan kya do gay??
Suno!
Iss nazm ko unwaan kya do gay??