Din raat kay anay janay mein
dunya kay ajaib khanay mein
kabhi sheshay dhundle hote hain
kabhi manzar saaf nahi hote
kabhi suraj baat nahi kerta
kabhi taray aankh badalte hain
kabhi manzil pechay rehti hai
kabhi aasein tor nahi charhtein
kabhi khoshay pure hote hain
kabhi aankhein dekh nahi saktein
kabhi khwab adhoore hote hain
yeh sab to sahi hai lekin
aashob kay manzar khanay mein
dunya kay ajaib khanay mein
kuch saya kerti aankhon kay pemaan to dikhai dete hain
hathon say agarchay dur sahi imkaan to dikhai dete hain
haan ret kay us darya kay paar
ik peron wali basti kay unwaan to dikhai dete hain
manzil say koson dur sahi
pur dard sahi ranjoor sahi
zakhmon say musafir choor sahi
per kis say kahein aay jaan-e-wafa
kuch aisay ghao bhi hote hain jinhein zakhmi aap nahi dhote
bin roye huay aansoo ki terha senay mein chupa ker rakhte hain
or sari umr nahi rote
neendein bhi muhaya hoti hain, sapne bhi dur nahi hote
ab kis say kahein aay jaan-e-wafa
yeh ahl-e-wafa
kis aag mein jalte rehte hain
kyun bujh ker rakh nahi hote...!!