Wednesday, August 17, 2011

koii zaNjeer ho,

koii zaNjeer ho,
aahan kii, chaandii kii, rivaayat kii,
muhabbat toR saktii hai!


yeh aisii Dhaal hai jis par
zamaane kii kisii talwaar kaa lohaa nahiiN chaltaa!
yeh aisaa shehar hai jis meiN
kisii aamir, kisii sultaan kaa sikkaa nahiiN chalta!
agar chashm-e-tamaashaa meiN zaraa sii bhii milaavaT ho
yeh aaina nahiiN chaltaa!


yeh aisii aag hai jis meiN
badan sholoN meiN jalte haiN, to ruuheN muskuraatii haiN
yeh voh sailaab hai jis ko
diloN kii bastiiyaaN aavaaz de kar Khud bulaatii haiN


yeh jab chaahe kisii bhii Khwaab ko taabiir mil jaaye
jo manzar bhuj chuke haiN, un ko bhii tanviir mil jaaye
dua, jo be_Thikaanaa thii, use taasiir mil jaaye
kisii raste meiN rastaa puuChtii taqdiir mil jaaye


muhabbat rok saktii hai samay ke tez dhaare ko!
kisii jalte sharaare ko, fanaa ke istiyaare ko!
muhabbat rok saktii hai kisii girte sitaare ko!
yeh chaknaa chuur aaine ke reze joR saktii hai
jidhar chaahe yeh baageN mausmoN kii moR saktii hai!

koii zaNjiir ho, us ko muhabbat toR saktii hai!!!!