Friday, August 26, 2011

Aik thi Nafrat aur aik thi Chahat.....

Dunya Waaloo!
tum bhi daikho
haan daikh hi lo
is dunya men piyar hey kitna?
aao mujh se sunoo kahani
aik thi nafrat
aor ik thi chaahat
chaahat ka tha naam bohat
magar is piyassi dunya men
wo huwi badnaam bohat
nafrat ik din kehney lagi
naam to tera chaahat hey
per mujh men kitni taaqat hey
itni bari is dunya men
meray hi sab deewaaney hen
jo ik doojey ko chaaahtey they
wo loog huway puraaney hen
bashar yahan per
khud apna hi dushman hey
wo khitta dikhlaao mujhko
jahan k thora aman bhi hey..??
jab loog
mujhay mana ker
ik doojay se rooth'tay hen
tumhein pata hey?
kitney hi dil toot'tey hen?
khooi tu hey
magar mujhko hi dhoondtey hen
chaahat ki bher aaae aankhen
kiyon k baaten sachi thein
itni bari is dunya
nafrat ki bharmaar hey bas
sirf
Rabb ko bandoon se piyaar hey bas
koi bhi yahan
chaahat ka talabgaar nahin
chaahat ka tarafdaar nahin
chaahat ka qarazdar nahi?