♥ maiN jidhar gaya, maiN jahaaN rahaa
mire saath tha
♥ vohi ek saaya-e- meharbaaN
voh jo ek paaraa-e-abr tha sar-e-aasmaaN
pas-e-har gumaaN
voh jo ek harf-e-yaqiin tha
(mire har safar kaa amiin tha)
voh jo ek baagh-e-irm numa sabhi mausamoN meN hara raha
voh ujaR gaya
voh jo ik dua kaa chiraagh saa mire raastoN meN jalaa raha
voh bikhar gaya
mire gham ko jaR se ukhaaRta
voh jo ek lams-e-aziiz tha
kisi kap kapaate se haath kaa, voh nahiN raha
voh jo aankh rehti thii jaagti mire naam par
vohi so gayii!
voh jo ik duaa-e-sakuun thii mire rakht meN vohi kho gayii-
ai Khuda-e-wahid-o-lumyaazul
tire ik harf ke saiid haiN
ye zamaaN makaaN!
tire faisloN ke hazuur meN
na majaal hai kisi harf ki na kisi ko tab-e-savaal hai
yeh jo zindagi kii mataa’ hai
tiri den hai, tira maal hai
mujhe hai to itnaa malaal hai!
ke jab us kii saa’t-e- aaKhiri sar-e-raah thii
maiN vahaaN na tha!
mire raastoN se nikal gayi voh jo ek jaa-e-panaah thii
maiN vahaaN na tha!
sar-e-shaam-gham mujhe Dhuundti miri maaN kii bujhti nigaah thii
maiN vahaaN na tha!
mire chaar suu hai dhuaaN dhuaaN
mire Khawab se miri aankh tak
yeh jo sail-e-ashk hai darmiyaaN
usi sail-e-ashk ke paar hai
kahiiN meri maaN!
tire reham kii nahiiN had koii
tire afv kii nahiN intehaa
k tuu maaN se baRh ke shafiiq hai
voh rafiiq hai
k jo saath ho to yeh zindagi kii musaafateN
yeh aziiateN ......yeh rukaavaTeN
faqat ik nigaah kii maar haiN
yeh jo Khaar haiN
tire dast-e-mojizaa saaz haiN
gul-e-Khush jamaal-e-bahaar haiN
miri iltejaa hai to bas yahi
miri zindagi kaa jo vaqt hai, kaTe us kii ujali duaaoN meN
tire darguzar ke hazuur meN
tiri barkatoN ke hisaar meN!
voh jo Khaas chashm-e-karam meN hai
usii raushni kii qataar meN!
kisi chiiz kii bhii kami nahiiN
tiri baKhshishoN ke dayaar meN!
miri maaN ki ruuh-e-jamiil ko
sada rakhna apne jawaar meN!!
sada purfiza voh lahd rahe, tire lutf-e-Khaas kii ChhaaoN meN