Wednesday, August 17, 2011

muhabbat

muhabbat os ki suurat
pyaasi pankhRi ke honT ko sairaab karti hai
guloN kii aastiinoN meN anokhe rang bharti hai
sehar ke jhaT_paTe meN gungunaati, muskuraati, jagmagaati hai
muhabbat ke dinoN meN dasht bhi mehsuus hota hai
kisi firdaus ki suurat
muhabbat os ki suurat

muhabbat abr ki suurat
diloN ki sar zamiiN pe ghir ke aati aur barasti hai
chaman ka zarra zarra jhuumta hai, muskuraata hai
azal ki be namu miTTi meN sabza sar uThhaata hai
muhabbat un ko bhi aabaad aur shaadaab karti hai
jo dil haiN qabr ki suurat
muhabbat abr ki suurat

muhabbat aag ki suurat
bujhe siinoN mein jalti hai to dil bedaar hote haiN
muhabbat kii tapish meN kuChhh ajab asraar hote haiN
k jitna yeh bhaRakti hai, uruus-e-jaaN mehakti hai
diloN ke saahiloN par jamaa hoti aur bikharti hai
muhabbat jhaag ki suurat
muhabbat aag ki suurat

muhabbat Khwaab ki suurat
nigaahoN meN utarti hai kisi mehtaab ki suurat
sitaare aarzu ke is tarah se jagmagaate haiN
k pehchaani nahiiN jaati dil-e-betaab ki suurat
muhabbat ke shajar per Khawab ke panchhi utarte haiN
to shaakheN jaag uThhtii haiN
thake haare sitaare jab zamiiN se baat karte haiN
to kab ki muntazir aankhoN meN shammeN jaag uThhtii haiN
mohabbat in meN jalti hai chiraagh-e-aab ki suurat
mohabbat Khwaab ki suurat

mohabbat dard ki suurat
guzishta mausamoN ka istiaara ban ke rehti hai
shabaan- e-hijr meN raushan sitaara ban ke rehti hai
munDeroN par chiraaghoN ki laueN jab thartharaati haiN
nagar meN na ummiidi ki havaayeN sansanaati haiN
gali meiN jab koii aahaT koii saaya nahiiN rehta
dukhi dil ke liye jab koii bhi dhoka nahiiN rehta
ghamoN ke bojh se jab TuuTne lagte haiN shaane to
yeh un pe haath rakhti hai
kisi hamdard ki suurat
guzar jaate haiN saare qaaifle jab dil ki basti se
faza meN tairtii hai der tak yeh
gard ki suurat
mohabbat dard ki suurat!