Saturday, August 13, 2011

Zameen Bola Nahi Karti

Zameen ki dastaras main bolna hota
To apna dukh biyan karti
Biyan karti ke insaan ki banai katal gahon se
Nikalte khoon na haq ne
Mere sene main esa bohj dala hay
Ke main patal tak hunmubtalyekarb ay logo!
Mera daman kabhi lawe ki hidat se nahi kanpa
Magar is khone na haq ne
Mujhe jhanjhor dala hay
Meri sarsabz chati par
Kaheen sabza nahi dekhta
Sabhi janab fakat holli ka manzar hay
Zameen wale jese rukne nahi dete
Khuda jane zameen kese ghum-e-daman sunaye gi.
Haqeeqt main agar poucho to ay logo!
Zameen bola nahi karti
Zameen to bas tamasha takti rehti hay
Fakat khamosh rehti hay
Koi shikwa nahi karti
Kare bhi to kare kese
Zameen bola nahi karti.