bhalee dino ke baat hai
bhali se aik shakal thee
yeh naa ke husun aam hoo
naa dheknee mein aam se
naa yeh ke woh chalee tu kahkashan se rahghuzar lage
magar woh saath hoo tu phir bhalaa bhalaa safar lagee
koi bhi rut ho aus ki chab
fiza ka rang-u-roob thee
woh gharmiyu ke chawuu thee
woh sardiyu ke dhoop thee
naa mudatuu juda rahee
naa saath subh-u-shaam hoo
naa ristaye-e- wafa pay zid
naa yeh ke azan aam hoo
naa aesse khush libasiyan
ke saadgee gilaa karee
naa aitne betakalufi
ke aaina hayaa karee
naa aikhtilat mein woh rum
ke badmiza hoo khowaishe
naa ais kadar supurdige
ke ziche karee nawazishe
naa aashiqe junoon ke
ke zindage azaab hoo
naa ais kadar khathorpan
ke dooste kharaab hoo
kabhi tu baat bhi khafi
kabhi sukoot bhi shukhan
kabhi tu kishit-e-zafiran
kabhi audasiyu ka ban
suna hai aik aumr hai
muamilaat-e-dil ke bhi
wisaale jaanfiza tu kiya
firaak-e-jaan ghusal ke bhi
naa aus ko mujh pay maan tha
naa mujh ko aus pay zaem he
jo ahad he koi naa hoo
tu kiya ghame-e-shikastage....!
soo apna apna raasta
hanse khushe badal liya
woh apne rah chal paree
mein apne rah chal diya
bhale se aik aik shakal thee
bhale se aus ke dooste
abb aus ke yaad raat din
nahi' magar kabhi kabhi ................!