bohot khush sakal hay yeh ghar
talismi hay fiza is ki
darichun ka hay rukh darya ki janab
or darwazy b aksar bag ke pehloo main khultay hain!
arusay no ke khuaboon ki tarhan taksheen hay har kamra
or in ke wast main almanwi shamen sher tak jhalmalati hain
bohot arasta mehman khanay main
talahi kab main rakhy hoye ismare taza'sabz-o-anabi
manakish jam samhen main sharab kehrbai
or kaf dehlez se le kar
makino ke nagaren hijla ghae khuab
or dewan khany tak
bechy galicha sehraz-o-roma
aap ke kadmon ki aahat is tarhan se jazb karty hain
ke jese khana zat taj
mehloon main chupay razoon ko apnay gang senon main,
makin sargoshion main baat katy hain
saday shaam ka zakhmi parinda
shesha-e-dr se barabar ser ko takrata hay
lekin baryabi ki koi sorat nahi banti
darichun par kabi
barish ki nanni si hatheli ki jhalak
muj ko dekhai de bi jati hay
magar dastak nahi ati
wahan awaz ko rasta nahi milta