zamastan ki ek reshmin shaam thi
mere ghar ke sare darechay
teri narm datakke yun muntazir thay
ke jese azal se teri ahatun se shanasa hain
khuab gah se faza
kamra mezahani talak
taza nargis ki khusbu se gulnar thi
tu ne deliz par paon rakha hi tha
ke mere ghar ke sare diye jal uthay
rang or roshani or khusboo ka selab tha
jo bahaye le ja raha tha humain!
der tak guftagose charagan raha
mosamon pa'
syasat pe
kare jahan or kare samawat par
par woh ek lafz jo
tere dil main khila
or mere khuab main
in cha hi raha