aye sooraj ke doosheeza kiran
tum nay tu kaha tha aoo gee
yeah undhi kali ratoon kaa
sab cheer andhaira aoo gee
haan lay kay sawaira aoo gee
hum shab bhar jagaay, baith rahay
jab oos nay chadar phaylaye
jab chaand nay jhalke dikhlaye
jab anbar pay taray chamkay
jab jungle mein jugnoo damkay
aur badal badal ghir ayee
ik zalim zalim tunhai
phir hum nay ik sapna daikha
phir hum nay ik dhooka khaya
aye sooraj ke doosheeza kiran
tum koun say dard ka darmaan theen
tum aateen tu kaya bujh jaatee ?
yeah payaas humaray hontoon kee
yeah payaas humaray seenay kee
yeah payas badan ke chahat kee
tum aa jateen tu kaya hoota ?
dil phir bhi younhee tunha hota
in payasoon ka payasa hoota
yeah jaisa hai waisaa hoota
ya mukin hai itna hoota
ye tum say lipat rooya hoota
aye sooraj ke doosheeza kiran