phir bhi log deewane
aa gai hain samjhaane
shehr-e dill ki galiyoo.n main
shaam sey bhataktey hain
chaand k tammanaai
be-qarar sodaai
dill gudaaz tareeki
jaa.n gudaaz tanhaai
roh-o jaan ko dasti hay
roh-o jaan main basti hay
shehr-e dill ki galiyoon main
taak-e shab ki bailoo.n per
shabnamee.n sarakshoo.n ki
be-qarar logoo.n nay
be-shumaar logoo.n nay
yaad-gaar chorhi hay
itni baat thori hay?
sad-hazaar baatain thee.n
heela-e shakaibaai
soratoo.n ki zaibaai
qamatoo.n ki ranaai
in siyaah raatoo.n main
aik bhi na yaad aai
ja-baja bhataktey hain
kis ki raah taktey hain
chaand k tammanaai
ye nagar kabhi pehley
is qadar na weeraa.n tha
kehne waaley kehtey hain
qayaa-e nigaraa.n tha
khair apney jeene ka
ye bhi aik samaa.n tha
aaj dill main weeraani
ab'r ban k ghir aai
aaj dill ko kya kaheye
ba-wafa na harjaai
apni wehshat-e dill k
bun lieye hain afsaaney
khush khayyal duniya nay
garmiyaa.n tu jaati hain
wo rutain bhi aati hain
jab malool raatoo.n main
dostoo.n ki baatoo.n main
jee na chain paay ga
aur aoub aay ga
aahatoo.n sey gonjey gi
sheh-e dill ki pehnaai
aur chaand raatoo.n main
chandni k shaidaai
har bahaane niklain gai
aazmaane niklain gai
aarzo ki gairaai
dhoondh'ne ko ruswaai
sard sard raatoo.n ko
zard chaand bakhshey ga
be-hisaab tanhaai
be-hijaab tanhaai
shehr-e dill ki galiyon main