Saturday, August 6, 2011

Hisaab-e-Ziyan-e-Jaan

Chalo kuch Aaj Hisaab-e-Ziyan-e-Jaan Kar Lain
Alam Shumar Karain..Dard Aashkar Krain
Gilay Jo Dil Ki Tahoon Ma Han Aabloon ki Trha
Unhain Bhi Aaj Shanaasaiye Nook-e-Khaar Karain

Jo BayWafa Ho Usay BayWafa Kahain Khul Kar
Hadees-e-Chashm-o-Lab-e-Sookhta Kahin Khul Kar
Kahan Tak Yeh Takalum Zamana Sazi K
Pas-e-Kalaam ha Jo Kuch Zara Kahain Khul Kar
Khunk Khunk Si Hansi Hans K Mil Rahay Ho Kun!
Lahoo Ha Sard To Aankhain Bhi Munjamind Kar Loo
Jo Dil Ma Dafan Ha,Chehron pa Ishtihar Karain
Alam Shumar Karain..Dard Aashkar Karain

Tumhara Mera Taaluq Bas Aik Lafz Ka Ha
Lugat k Ant Ma Simta Hoa Faqt Aik Lafz
Iss Aik Lafz Ma Sachai Ha Zamanoo Ki
Chalo K Aaj Yehi Lafz Ikhtiyar Karain
Tamam Umar Pari Ha Munafqat K Liye
Iss Aik Lafz Ka Daaman Na DaagDar Karain
Alam Shumar Karain..Dard Aashkar Karain
Chalo Aaj Kuch Hissab-e-ziyan-e-Jaan Kar Lain!

Amjad Islam Amjad