Tujh ko maloom nahi , tujh ko bhala kya maloom
tere chehre k yeh saada se achoote se nakoosh
mare takhi-ul ko kya rang aata kerte hain
tere zulfien , tere aankhen , tere aariz , tere hont
kaisi anjaani si masoom khata kerte hai
khalwat-e-bazm ho Ya Jilwat-e-tanhai ho
tera Paiker meri nazron main ubhar aata hai
koi sa-at ho , koi fiqr ho , koi mahol
mujh ko her simat tera husan nazar aata hai
Chalte chalte qadam jo aap tha-tak jate hain
sochta hoon keh kahin tu ne pukara to nahi
gum si ho jati hai nazren to khayaal aata hai
iss main pinhaan kahin teri aankhon ko ishara to nahi
dhoop main saaya bhi hota hai Guraizan Jis dam
tere zulfen mare shaano pe bikhar jatee hain
thak ke sir jab kisi pathar pe ti-kaa deta hoon
teri baahen meri gardan main ut-tar jaati hain
aankh lagti hai to dil ko yeh guman hota hai
sir-e baalen koi baitha hai baade pyaar k saath
Kis ko maloom mere khaboon ki tabiir kya hai
kon jaane mere gham ki haqeeqat kya hai
main samagh loon bhi agar iss ko muhabbat ka janoon
mujh ko iss ishq-e-janoon khaiz se nisbat kya hai
Tujh ko maloom nahi , tujh ko bhala kya maloom
tere chehre k yeh saada se achoote se nakoosh
mere takhi-ul ko kya rang aata kerte hai
tere zulfain , tere aankhain , tere aariz , tere hont
kaisi anjaani si masoom khata kerte hain