Saturday, August 6, 2011

Kabhii kabhii

Kabhii kabhii in hab's bhari raaton main
Jab
Sab aawazain so jatii hain
Aadhii neend ki ghayel madhoshi main
Ek Khwab anokha jaagta hay
Main daikhta hoon
Gard ki is chaadar say udhar
Jo mairay us kay beech tanii hay
Wo bhii tanha jaag raha hay

Amjad Islam Amjad