Wednesday, August 3, 2011

Yeh Kaisi Zanjeeron Mein Jakadte Jaa Rahe Hai

Aaj Yeh Kaisi Zanjeeron Mein Jakadte Jaa Rahe Hai
Na Chahkar Bhi Unhi Raaston Se Guzarte Jaa Rahe Hai
Kadam Kadam Pe Khayi Hai Thokar Apno Se Hi
Phir Bhi Manzil Paane Ki Umeed Mein Chalte Jaa Rahe Hai
Thak Gaye Hai Beh Beh Ke Aansu Bhi
Phir Bhi Zamane Wale Dard Diye Jaa Rahe Hai
Pehchan Nahi Rahi Khushiyon Ki Umeed Nahi Muskurane Ki
Phir Bhi Unki Khushi Ke Liye Muskurane Ka Natak Karte Jaa Rahe Hai
Ghin Aane Lagi Hai Apne Aapse Hi Khwaish Na Rahi Jeene Ki
Phir Bhi Unhe Zinda Rakhne Ke Liye Jiye Jaa Rahe Hai
Aakhir Kabtak Sitam Karti Rahegi Duniya
Kabtak Zakhm Deti Rahegi Duniya
Yeh Dekhne Ke Liye Har Sitam Har Zakhm Sehte Jaa Rahe Hai